July 18, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 150
Guruji Aaye Bann Kar Bashar
Guruji aaye bann kar bashar
Is kalyuga ke sansaar mein
Maanav ka uddhaar karne
Aaye Shivji ke avataar mein
Na dekhi jaat na dekhi bhaasha
Sabke dil mein bhar dee asha
Bhakton ko Ve dikhaayein jeene kee raah
Sabke mann mein Ve jagaayein utsaah
Saadaapan Unko bahut bhaata hai
Bhakton se Unka ek nirmal naata hai
Kehte hain Guruji ki jhooth na bolo
Apne karmon mein vish na gholo
Guruji ka naam lekar jo aagey badhega
Guruji ko sab kuch jo samarpan karega
Jo Unke dikhaaye huey maarg par chalega
Vahee bhakt Unkee komal kripa se tarega
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
July 18, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 515
Guruji Kee Mahima Ka Noor
Pyaare Guruvar,
Aapka prem aur Aapka prataap
Har leta hai bhakton ke dukh aur santaap
Aapki mamta aur Aapki divya pavitrataa
Duur kar deti hai is atma kee daridrataa
Aapse pyaar hai itna Guruji
Ki har pal Aapko yaad karne ka dil karta hai
Aapke bharose har pal jeete hain
Yeh pyaar aur bharosa simran ke liye utsaahit karta hai
Yakeen hai ki Aapki sadhna se aur bhi badh jaayegi
Aapke prati shradha aur preet
Aapke simran mein leen hokar yeh jaana
Ki Aap jaisa na hai koi aur meet
Lafzon mein bayaa karna shaayad ho mushkil
Ki kaise Aapki kripa se mil jaati hai manzil
Karishma hai yeh Aapki khudaai ka
Ab sawaal hee nahin uthta Aapse judaai ka
Aapke hee charnon mein subah ka sooraj
Aapke hee charnon mein raat ka chand
Aapki hee mahima ke noor se
Roshan hua hai yeh sampoorna brahmand
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja