Guru Milan Kee Bela Aayee (07/24/2018) and Sadhna Ka Aadhaar (07/24/2019)

July 24, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 156

        Guru Milan Kee Bela Aayee

Guru milan kee bela aayee
Sab kuch abb mai chod chalee
Mann mein utsaah ka ehsaas jaaga
Khil gayee dil mein muskaan kee kalee

Guruji ne Apne paas bithaaya
Charan sewa ka mauka diya
Jisko paakar dhanya hui mai
Unhonei aashirwaad diya

Unka diya hua chai prasad
Shradha se pee liya mainey
Langar prasad bhi khaya rajj kar
Uska nirmal anand toh kya kehne

Guruji ke vachan se sajaya dil ko
Vahee hain sabse sundar gehne
Unke kehne par mai mastt ho gayi
Jagg ke nakhde nahin pade sehne

Guruji ko apne saadhaaran se pyaar ka
Ek chhota sa nazraana diya mainey
Apni sharan mein mujhe lene ke liye
Unka koti koti shukrana kiya mainey

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Milan Kee Bela Aayee (07/24/2018)

July 24, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 521

            Sadhna Ka Aadhaar

Guruji, Aapne hamein sharan mein liya hai
Kaise kahein ki hum kitne shukrguzaar hain
Aapne thaama haath toh hum bach gaye hain
Varna hum toh haalaat se laachaar hain

Shabdon mein karna bahut hee mushkil hai
Aapke prati bhakti aur prem ko bayaan
Yeh toh aisa nirmal bhaav hai
Jo hum bhakton ke liye hai vardaan

Aapki hee kripa se rehta hai ujjwal
Mandir hamaare mann ka
Aapki hee mehar se kalyaan ho raha hai
Aapke har bhakt jann ka

Prem se karein yaad Aapko, na ki bhayy se
Vishwaas se poojein Aapko, na ki sanshayy se
Na darr ho kisee ka, na mann mein ho paap
Buss simran mein dikhein Aap, keval Aap

Aapke liye beintehaa aadar aur pyaar
Banaa rahey hamaari sadhna ka aadhaar
Aapke prem se miltee hai hamein shakti
Aapki karuna se hoga hamaara beda paar

Saadaapan aisa bakshiye ki sukh mein guroor na ho jaaye
Atma-vishwaas aisa bakshiye ki dukh mein dil choor choor na ho jaaye
Ashirwaad aisa deejiye ki koi bhi bhakt Aapse duur na ho jaaye
Saath aisa deejiye ki Aapki bhakti ka suroor sa ho jaaye

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sadhna Ka Aadhaar (07/24/2019)

Leave a comment