July 31, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 163
Guruji Kahein...
Jabb takk praani apni βmaiβ mein phasey
Uske dil mein uska Guru kaise basey
Guruji kahein is βmaiβ ko tyaago
Aham kee jalti aag se duur bhaago
Jalaa degi yeh aag tujhe bhi ek din
Nahin jee sakega tu Guruji ke bin
Jaise jaise samay raha hai beet
Tu Guruji se lagaa le pavitra preet
Bande, βmaiβ ko chod kar dekh toh sahi
Prabhu milan kee raah tera intazaar kar rahi
Isee raah par mitenge dukh aur santaap
Aur tera Guruji se hoga sundar milaap
Milaap kee uss ghadi ko galey se tu lagaa
Apni divya antaraatma ko tu le abb jagaa
Jalaa le tu dil mein bhakti kee jyot akhand
Guruji mil gaye, toh kabhi toh mil jaayega sachkhand
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
July 31, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 528
Zindagaani Ka Afsaana
Zindagi mein udaasi aur khushi ke bahaane milenge kayee
Lekin zindagi ke lamhon ke liye shukrana karna seekh lein
Is tarehn se apna drishtikoan sudhaarein
Shukrana kar apna jeevan sanvaarein
Maana ki shukriya karna kathin hai gumm mein
Kyunki niraasha aa jaati hai mann mein
Kintu Guruji kee sharan mein na hotei toh gumm hota aur bhi zyada
Guruji ne sadaa nibhaaya hai hamaari raksha karne ka vaada
Shukrana jo karenge hum udaasi aur dukh ke pal mein
Toh Guruji ko aur bhi garv hoga humpar
Aakhir hamaari har saans jo hai
Veh chalti hai Guruji kee kripa ke dum par
Guruji ka shukrana karenge jitna
Guruji karam kaat-te chalenge utna
Mushkilein hal hoti hui nazar aayengi
Udaas ghadiyan jald hee guzar jaayengi
Shukrana ka ehsaas sach mein itna hai khaas
Isliye swayam ko samjhaayein aur na hon hum udaas
Har pal Guruji ka hum karein shukrana
Shukrana mein guzaar lein zindagani ka afsaana
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja