August 1, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 164
Tu Yakeen Kar
Guruji tere Ram hain, Guruji tere Shyam
Guruji tere Bhagwaan Hain, tu yakeen kar
Tujhe sukh denge, tere dukh harenge,
Insaaf Veh karenge, tu yakeen kar
Raah dikhaayenge tujhe, uspar chalaayenge tujhe
Jeena sikhaayenge tujhe, tu yakeen kar
Veh muskuraayenge, tujhe galey lagaayenge
Tujhe aish karaayenge, tu yakeen kar
Jholi teri bharenge, arzi teri sunenge
Sapne sach karenge, tu yakeen kar
Unka darbar hai pyaara, Unka dwaar hai nyaara
Vahee Hain tera sahaara, tu yakeen kar
Vahee Hain paalanhaar, Vahee Hain bakshanhaar
Ho Unka tu shukrguzaar, tu yakeen kar
Tere saare kasht taalenge, Vahee tujhe taarenge
Guruji sab sambhaalenge, tu yakeen kar
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
August 1, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 529
Karmon Kee Kahaani
Yeh kahaani hai karmon kee
Yeh kahaani hai rishton kee
Karmon ke hisaab se rishton ko todne ya nibhaane kee
Aur phir rishton ke anusaar karmon ko badhaane ya kumm kar paane kee
Karmon ka ganit aasaan nahin
Isliye baahar hai samajh se hamaari
Karmon ke dwara hee karte hain
Hum aagey kee niyati kee tayaari
Guruji har kadam par madad karte hain hamaari
Aakhir Unhee kee aulaad hain hum sab
Ek din toh aakhiri saans hum sab lenge
Maalum nahin kahaan aur kab
Phir abhi se sambhal jaane mein hee bhalaayee hai
Kyunki karmon ka bhugtaan toh ek sachchaayee hai
Jhooth ka saath dena bhi jhooth se kumm nahin
Guruji ke bina niyati se hum ladd sakein, aisa hamaare mein dum nahin
Kyun na abhi se hee sach ka saath dena shuru karein
Vaisa hee karein jaisa hamaare Guru kahein
Hamaare bhaley kee baat hee karenge Guruji, Vidhaata hain Ve hamaare
Unke charnon kee dhool kee aukat bhi nahin rakhte hum saare
Hum sabko bhogna hai karmon ka phal
Chaahe aaj bhogein ya phir kal
Kyun na yeh uttardaayitva sambhaal lein hum
Aur swayam ko shudh saanche mein dhaal lein hum
Jitnee jaldi Guruji hamein maaf karenge
Aur hamaara karmic khaata saaf karenge
Utnee jaldi rangg laayegi Guruji kee shakti
Aur hamein mil jaayegi janam maran se mukti
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja