August 6, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 169
Har Satsang Mein Aatey Hain Guruji
Har satsang mein aatey hain Guruji
Hain Ve sab bhakton ko pyaare
Har dil mein bastey hain Guruji
Unke roop hain itne nyaare
Kabhi Shivji ke avataar mein
Dikhein Nandiji ke sangg
Kabhi bansi bajaate huey Shyam
Zindagi mein bhar dein rangg
Baba Nanak ke divya roop mein
Kisee bhakt ko nazar aayein
Kabhi Shirdi ke Sai Baba bannkar
Shishyon ko daras dikhaayein
Om dikhey kisee satsangi ko
Kisee ko dikhta Omkaar
Kisee ko dikh jaaye Mata Rani
Dushton ka karti hui sanhaar
Kisee bhakt ko dikhte hain Guruji jaise
Baahubali sankatmochak Hanuman
Koi dekhe Unmein poojya Ganpati
Toh koi dekhe Ayodhya Naresh Ram
Roop anek hain hamaare Guruji ke
Aur leela hai Unkee aparampaar
Jis bhi roop mein poojein Unhein hum
Vahee lagaayein hamaara beda paar
Unhee kee tu kar upaasana
Unhee mein leen tu hoja
Baaki sab sirf mithya hai
Tu buss Guruji mein khoja
Unhee mein yoon khokar tu
Apne aap mein Unhei paayega
Vahee denge moksh tujhe
Aur jeevan dhanya ho jaayega
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
August 6, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 534
Unhee Se Milan Kee Aas
Dil jab bilkul toot gaya
Har rishta jagg ka jab chhoot gaya
Khud ka naseeb hee jab rooth gaya
Guruji ne bulaaya Apne paas
Aansoon se aankh jabb ho numm gayee
Zindagi mein ho gaye jab gumm kayee
Udaasi mein waqt kee ghadi jab thamm gayee
Toh Guruji ne dilaaya Apna ehsaas
Jab aankh khuli asliyaat jaan-ne ke baad
Jab Ishwar ko kiya dil se yaad
Jab kee apne uddhaar ke liye fariyaad
Tabb Guruji ne dil mein buss kar kiya usey aabaad
Jab din kee bela mein bhi mehsoos hui andheri raat
Jab jaani duniya waalon kee aur apni aukat
Jab kehne aur sun-ne ke liye rahi na koi baat
Tabb Guruji ne dee Apni bhakti kee saugat
Jab lagg nahin raha thaa beda paar
Jab samajh nahin aa raha thaa jeevan ka saar
Jab dil gaya thaa sab kuch haar
Tabb Guruji ne diya beintehaa pyaar
Kyun itna samay kar diya pehle zaaya
Shaayad tabb hakeekat jaan-ne ka waqt nahin thaa aaya
Ab toh aalam aisa hai chhaaya
Ki bekaar lagne lagi hai yeh maya
Ab toh Guruji se hee hai har shwaas
Unhee par tikaa hai ab vishwaas
Aur kuch bhi nahin aata hai raas
Kyunki Unhee se milan kee hai ab aas
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja