August 14, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 177
Guruji Ke Charnon Se Na Jaana Aur Kaheen
Vyarth hai is duniya kee maya
Kisi ko yeh moh kaam nahin aaya
Jeevan kee mithya se kabhi kuch na paaya
Paa lo abb Guru naam kee sheetal chhaaya
Abb bhi kuch nahin bigda hai tumhaara
Guruji ke ashirwaad ka le lo sahara
Vahi jaantein hai sachchaa haal hamaara
Aur Veh dikhaayenge hamein mukti ka kinaara
Isliye bekaar kee baatein toh socho hee nahin
Ghor kalyuga mein chaahe hil jaaye zameen
Guruji ke charnon se na jaana aur kaheen
Tumhe tumhaari divya manzil milegi vaheen
Guruji kee hee baatein suno aur sunaao
Gupt sewa mein tum mastt ho jaao
Mann ko Guruji kee oar lagaao
Aur antaratma ko phirse jagaao
Guruji hee hain hamaare parwardigaar
Unke alaawa na hai koi hamaara madadgaar
Unhee ke paas hai hamaare naav kee patwaar
Vahee le jaayenge hamein bhavsaagar ke paar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
August 14, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 542
Aise Guru Pe Bal Bal Jaayiye
Dugri mein janam liya bashar bann kar
Sangat ka uddhaar kiya umr bhar
Aaj bhi jagg ka kalyan karte hain chola chodkar
Aise Guru pe bal bal jaayiye
Uthaate hain hamaare karmon ka bhaar
Lagaate hain hamaara beda paar
Karte hain humse niswaarth pyaar
Aise Guru pe bal bal jaayiye
Hamein saahas deti hai Unkee shakti
Ve chaahein keval hamaari maasoom bhakti
Unhee ke vash mein hai hamaari mukti
Aise Guru pe bal bal jaayiye
Hamein vehem chodna sikhaatey hain
Sachchaayee kee raah dikhaatey hain
Andhvishwaas hamaara mitaatey hain
Aise Guru pe bal bal jaayiye
Kehte hain ki hum jeevan mein laayein saraltaa
Kehte hain Ve ki hum vyavhaar mein laayein taraltaa
Kehte hain Ve ki hum vichaaron mein laayein komaltaa
Aise Guru pe bal bal jaayiye
Jeevan bhar detey hain hamaara saath
Maut ke samay bhi thaamte hain haath
Maut ke pashchyaat bhi detey hain apni sharan kee saugat
Aise Guru pe bal bal jaayiye
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja