Guruji Aaye Hain Hamein Bachaane (08/18/2018) and Atma Kee Unnati (08/18/2019)

August 18, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 181

 Guruji Aaye Hain Hamein Bachaane

Kalyuga ka chaahe chha jaaye andhera
Aur agyan kee raat lagey sataane
Guruji banenge hamaara savera
Ve aaye hain hamein bachaane

Guruji chaahein ki hum ek dooje ke
Jeevan mein bharein pyaar ke rangg
Aur satya ko sab dhaaran karein
Dhrid vishwaas ke sangg

Na phailaayein samaj mein andhvishwaas
Aayiye atma ko sashakt banaayein
Kyun na poorna karein Guruji kee aas
Adharma ko mil kar duur bhagaayein

Guruji ko bhagwan maana hai toh
Unka anusaran karna hamaara dharam hai
Sarvagyani Guruji sadaa pehchaanein
Kis bhakt ka kaisa karam hai

Hamaare mann kee maili chaadar ke daag
Guruji Apne divya gyan se mitaayein
Aankhon par padee vehem kee dhool ko
Veh Apni chetna ke malmal se hataayein

Kalyuga kee peeda se bachne ke liye
Guruji kee baat ko hum sab maan lein
Apne Guru ke bataaye huey raaste par chalkar
Kyun na Unhe hum sammaan dein

Itni bakhoobi se kaatein hain karam hamaare
Unki leela sach mein laajawaab hai
Jahaan sachcha pyaar itna durlabh hai
Guruji se hamein veh milta behisaab hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Aaye Hain Hamein Bachaane (08/18/2018)

August 18, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 546

              Atma Kee Unnati

Apne hee vyavhaar se banti hai hamaari niyati
Kyun na apne mann kee karein ruhaani sadgati
Pavitrataa hee hai atma kee prakriti
Aur ruhaaniyat se hoti hai atma kee pragati

Guruji sikhaatein hain rehna saral
Saraltaa mein ek anokhi divya gehraayee hai
Guruji kehte hain hum apnaayein sachchaayee
Kyunki usee mein hai hamaare bhavishya kee achchaayee

Kyunki swayam hee bhogna hai apne karmon ka phal
Jhooth toh hai keechad, satya hai nirmal jal
Satya toh atma ka mool sanskaar hai
Aur atma kee pavitrataa hee mukti ka aadhaar hai

Hum sab toh kismat waale hain
Ki Guruji ne hamaare adhiktar karam sambhaale hain
Isliye kyun na apni taraf se koshish karein poori
Ki atma kee unnati na reh jaaye adhoori

Guruji ko Bhagwan maana hai apna
Toh poora karein Unka yeh sapna
Atma ko pragati kee oar badhaayein
Aur Guruji ke honhaar bachche kehlaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Atma Kee Unnati (08/18/2019)

Leave a comment