Yeh Mannva Bada Sataaye Re (08/20/2018) and Aap Ke Naman Mein (08/20/2019)

August 20, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 183

       Yeh Mannva Bada Sataaye Re

Yeh mannva bada sataaye re
Baar baar bhatak jaaye re
Kaash abb vash mein aa jaaye re
Yeh mannva bada sataaye re

Bheed mein na kaheen gum jaaye re
Kalyuga kee havaa mein na ud jaaye re
Andhere mein yeh na kho jaaye re
Yeh mannva bada sataaye re

Jagg ke dikhaave se ghabraaye re
Guruji ko baar baar bulaaye re
Magar apne ko moh maya se chuda na paaye re
Yeh mannva bada sataaye re

Kuch maang ke phir pachhtaaye re
Sotey huey bhi jagtaa jaaye re
Ik pal bhi shanti na paaye re
Yeh mannva bada sataaye re

Bande, tu itna kyun sochey jaaye re
Kyun Guruji ke darbar mein na aaye re
Apni doar Unhe tu na saump paaye re
Tabhi toh yeh mannva bada sataaye re

Jo tu Guruji ke dar par ruk jaaye re
Unke charnon mein jhuk jaaye re
Unka hee jo tu ho jaaye re
Yeh mannva phir na sataaye re

Guruji ke gyan se roshan ho jaaye re
Unke vachan sun unpar chal paaye re
Sadaa ke liye Guruji ka ho jaaye re
Phir mannva kabhi na sataaye re

Soch mein itna kyun samay ganvaaye re
Abb Guru milan ko hee manzil tu banaaye re
Phir koi bhi taakat tujhe na roak paaye re
Aur mannva khushi se phoola na samaay re

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Yeh Mannva Bada Sataaye Re (08/20/2018)

August 20, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 548

            Aap Ke Naman Mein

Jod lein haath Aap ke naman mein
Aur jhuka lein apna sheesh
Guru Sahib, sweekar leejiye hamein
Aur deejiye shubh ashish

Anjaan hain hum, naadaan hain hum
Aap hee uddhaar keejiye
Hairaan hain hum, pareshaan hain hum
Hamaare jeevan mein sudhaar keejiye

Hamaare kandhey kamzor hain daata
Hamaare pichhle karmon ka bhaar leejiye
Haath thaame rakhna hamaara
Guruvar, kripa kar hamein taar deejiye

Apne karmon ka uttardaayitva samjhein
Hamein deejiye aisee buddhi aur gyan
Doojon ko chot na pahunchaayein hum
Rakhein apne charitra par dhyan

Karam na karein khotey hum
Koshish karein ki sudhar jaayein
Jis disha mein neki aur sad bhaav ho
Hum usee disha mein kadam badhaayein

Guruji Aapki paawan sharan mein hain hum
Aapka hum par behad upkaar hai
Aapne jageh dee hai Apne charnon mein
Hamaare liye yeh sarvottam uphaar hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aap Ke Naman Mein (08/20/2019)

Leave a comment