August 26, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 189
Guruji Ke Pyaar Ka Atoot Bandhan
Bhai aur behen ke rishtey kee doar
Itne sundar bandhan mein deti hai jod
Aao sabb baant lein aapas mein pyaar
Raksha bandhan ka jo aaya hai tyohaar
Guruji hamaare kitne nirmal hain
Har naata nibhaatey hain hum sabke saath
Har pal har din Unhonei sneh se
Thaama hai hum sabka haath
Kitna komal Guru-shishya ka bandhan hai
Kayee janmon se chalta aaya hai
Isee pavitra bandhan kee neev par
Humne apna yeh astitva paaya hai
Aashirwaad Unka har behna par
Jo kitne pyaar se thaal sajaati hain
Aur itne prem bhaav se apne
Veer ko rakhi pehnaati hain
Ashish Unka uss bhaai par
Jo behna se rakhi bandhwata hai
Laad se mithai aur tohfa dekar
Uskee raksha karne kee kasam khaata hai
Is bandhan se judey rahein hum
Aur agyan ke bandhan ko todein
Raksha bandhan ke divas par sadaa ke liye
Andhvishwaas se hum muh modein
Raksha bandhan ke tyohaar ka andaaz
Bhai behen ke komal prem ka saaz
Niswaarth prem hai is rishtey kee awaaz
Hameshaan rakhna is rishtey kee laaj
Laukik bandhan toh nibhaane hain
Jab tak yeh maanav jeevan hai mila
Chalta rahega is duniya mein
Choti badi baaton ka silsila
Isliye asal baat par dhyan dein
Aur shradha se Guruji ka gyan lein
Unke simran mein hum ramte jaayein
Guruji ke pyaar ke atoot bandhan mein
bandhte jaayein
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
August 26, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 554
Guruji Toh Swayam Hee Bhagwaan Hain
Guruji hum sabka jahaan hain
Guruji toh swayam hee Bhagwaan hain
Maargdarshak hain, Baagbaan hain
Guruji karunanidhan hain
Kaun kehta hai ki jeene ke tareekey aasaan hain
Har shaqs ke dil mein sainkdon armaan hain
Hamaare sahi samay par ho rahey sab kaam hain
Hamaari badalti haathon kee lakeerein is satya ka pramaan hain
Hamaare neech karmon ke jo anisht anjaam hain
Guruji unhe kum karne ka karte intazaam hain
Guruji kar lete hamaare har karam kee pehchaan hain
Guruji ke hum sab par anginat ehsaan hain
Aane dein jo aa rahey zindagi mein toofan hain
Un toofaanon mein bhi Guruji dete hamein jeevan daan hain
Jeevan ke sab pehlu hamaare liye imtehaan hain
Vifaltaa aur safaltaa dono Guruji ke diye huey vardaan hain
Chaahe hum jaise bhi insaan hain
Hum sabhi Guruji kee santaan hain
Karmon ke maare hain aur naadaan hain
Shukrana Guruji ki Aap har pal hum sab par meharbaan hain
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja