Sunehra Sach (09/30/2018) and Eho Ardaas Hamaari Guruji (09/30/2019)

September 30, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 224

                     Sunehra Sach

Jab Guruji dikhaatey hain kinaara
Toh hum kyun nahin lete hain sahara?
Jabb Ve karte hain maargdarshan
Hum kyun nahin karte hain atma-samarpan?

Hamaare karmon ko sudhaarne ke liye
Ve toh jalaate hain maarg mein gyan ke diye
Lekin jabb Ve dikhaatey hain lakshman rekha
Hum kyun usey karte hain andekha?

Jabb bhi bulaate hain hum Guruji ko
Ve suntey hain hamaari pukaar
Phir kyun Unke sikhaane par bhi
Hum badalte nahin hain apne vichaar?

Guruji kahein ki atma-sammaan karna achchaa hai
Buss dhyan rahey ki veh hamaara ahankaar na bann jaaye
Neeven bann kar chalein aur sach bolein
Taaki ghamand aur jhooth hamaara sanskaar na bann jaaye

Ek jhooth ko chhupaane ke liye
Kehne padte hain jhooth anek
Sach toh sthir hai, avinaashi hai
Sachchaayee mein hai asal vivek

Jhooth se badhta hai atma par bojh
Jo kayee janmon takk saath na chhodta
Jhooth hee jhootha sahaara bann jaata hai
Jo hamaare maansik santulan ko hai todta

Guruji ke rangg mein rangg jaayein hum
Hum sabke bheetar Unhee ka vaas hai
Hum sabb Unkee aankhon ke taare hain
Yeh sunehra sach toh sach mein khaas hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sunehra Sach (09/30/2018)

September 30, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 589

        Eho Ardaas Hamaari Guruji

Eho ardaas hamaari Guruji
Ki hamein Aapko paane kee ho aas
Aapne hamaari zindagi hai sanvaari
Buss, sadaa rehna hamaare paas

Aapki divya kaanti ke aagey
Har roshni dheemi laagey
Aapki sowmya muskaan ke sangg
Baandhein hum bhakti ke dhaagey

Aapke pyaar ka pavitra bandhan toh
Laagey moksh se bhi adhik manohar
Sabr, vishwaas, aur shradha kee
Aapsey mil jaaye dharohar

Har pal ko banaa lein haseen mauka
Swayam ko sudhaarney ka
Kewal Aapko hee hai haq
Hamaare jeevan ko sanvaarney ka

Chaahe pyaar se, chaahe dhutkaar kar
Hamein sahi raah par chalaana
Kadam agar dagmagaaye hamaare
Haath thaamkar hamein chalna sikhaana

Karte rahein sadaa Aapse baatein
Din ho ya raat, sadaa Aapko saadhein
Shukrana mein guzaar lein jeevan hum apna
Sach ho jaaye Aapse milan ka sapna

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Eho Ardaas Hamaari Guruji (09/30/2019)

Achchee Fasal (09/29/2018) and Saagar Kee Aseemtaa (09/29/2019)

September 29, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 223

                  Achchee Fasal

Jhooth aur fareb ka nakaab
Ek din utar hee jaata hai
Jabb chehra hota hai benakaab
Sach zaroor saamne aata hai

Kyun hum logon ko karein
Vehem aur jhooth se daraakar kaaboo
Aao, sabka dil jeetein chalaakar
Unpar niswaarth pyaar ka jaadoo

Aur kisee se chaahe chhupa lo
Guruji toh satya ko jaanein
Duniya ko chikni-chupdi baaton se rijhaa lo
Par Guruji toh asliyat pehchaanein

Humse galatiyan ho jaati hain
Aakhir hum naadaan insaan hain
Guruji se maafi maang lo dil se
Guruji toh swayam Bhagwaan hain

Maafi maangne ke pashchyaat
Koshish karna vahee galati na dohraana
Koi faayda na hoga sach mein
Aur oopar se padega pachhtaana

Kyun apne aap ko aise vikarmon mein uljhaayein
Kyun na sach par amal kar ke jeevan ko saral banaayein
Guruji toh hamein Apna ashirwaad dete huey kabhi nahin thakte hain
Guruji ke pyaare bachche hain agar toh itna toh hum bhi kar sakte hain

Vikarmon ka vinaash hoga tabb hee jeevan hoga safal
Nishkapat khayaalat hongei hamaare toh muqaddar jaayega badal
Paap ka bojh kumm ho jaayega aur jeevan hoga saral
Achche beej boyenge, tab hee toh achchee hogi fasal

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Achchee Fasal (09/29/2018)

September 29, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 588

            Saagar Kee Aseemtaa

Saagar kee lehron ke dil mein
Umad raha toofaan
Bechayni see chhayi hai itnee
Shanti paane ka hai armaan

Kinaare ke sangg takraate takraate
Thakk see gayi hai har leher
Kinaare par aakar tabb ruk kar chayn milega
Jabb hogi Guruji kee mehar

Yahee soch kar lehron ne
Guruji ko dil se pukaara
Guruji toh kinaare par khadey hee thei Bannkar Unka sahaara

Bade pyaar se Apni goad mein Unhonei
Har lehar ko laad se bithaaya
Pyaar se thap-thapaakar lehron ko
Unke dil ko shant karaaya

Lehron ne apni har uljhan
Guruji ko samarpan kar dee
Guruji ne phir lehron kee jholi
Sukh aur chayn se bhar dee

Guruji ko shukrana kar ke
Lehron ne Unke charnon mein sees jhukaaya
Guruji ne Unhe ashirwaad dekar
Saagar kee aseemta se milvaaya

Guruji ke ashirwaad se hee shant hoga
Hamaare bheetar kee ashanti ka toofaan
Aao, hum Guruji ko sarv-samarpan kar dein
Kyunki Ve hee Hain hamaare Bhagwaan

Guruji hee Hain jinkey paawan pyaar se
Hum apne karmon ka bhugtaan kar paayenge
Divyata ke saagar kee aseemta mein
Guru kripa dwaara hum samaa jaayenge

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Saagar Kee Aseemtaa (09/29/2019)

Guruji Ka Satsang (09/28/2018) and Guruji Ka Ashirwaad Baarambaar (09/28/2019)

September 28, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 222

                 Guruji Ka Satsang

Duniya ke konei konei mein
Guruji ke satsang hain hotey
Jahaan shradhalu bhakt aakar
Apne aap ko simran mein khotey

Sajta hai MahaShiv Guruji ka darbar
Shobhit hotey hain Om Ek Omkar
Chhalaktaa hai Guruji ka nirmal pyaar
Darbar dekhne ko jee chahta hai baar baar

Guruji ke kamal charnon mein
Bhakt jann pushp hain chadhaate
Bade prem ke bhaav se
Apna sheesh jhukaate

Kisee ko aati mehek phool kee
Kisee par kripa hoti trishul kee
Koi darshan paata Guruji ke swaroop mein
Toh koi Unhe dekhta Om Omkar ke roop mein

Guruji ka abhinandan kar ke satsang shuru ho jaata
Gurbani ke divya rass mein har koi kho jaata
Koi bhakt bhavishya ke liye sandesh hai paata
Toh kisee ko koi shabad beeti yaad dilaata

Lekin sabse khaas baat hai
Ki uss pal mein sabb ramm jaate hain
Jaise zindagi ke anjaan safar mein
Hazaaron deep jal jaatey hain

Shabad ke baad ek hee sur mein
Satsangi mantra jaap hain karte
Guruji ko beintehaa shukrana kar ke
Apni jholi Unke ashish se bharte

Guruji ke samaksh sevak jann
Nishtha se jyot hain jalaate
Jyot ke divya prakash se
Gumm ke andhere ko mitaatey

Shiv avtaari Guruji kee arti se
Khil uthtaa hai vaataavaran
Guruji ke darshan hotei hain
Sankat haran mangal karan

Chai prasad aur kadha prasad
Sabb jann badi shradha se lete
Aur Guruji langar prasad mein bhi
Apna ashirwaad hamein hain dete

Satsang mein aaye huey sab jann
Langar khaate bina kisee vehem ke
Langar ke divya swaad ka anand
Lete bina kisee ahem ke

Bhakt Guruji se judey huey anubhav
Sangat ko hain sachchaayi se sunaatey
Yeh dekh kar Guruji prasann hotei
Aur mann hee mann muskuraate

Sun-ne vaale aur sunaane waale ko
Dono ko milta Guruji ka ashirwaad
Sach maaniye toh yeh ashish hee hai
Hamaare liye sabse anmol prasad

Dar-asal satya ka paawan sangg hee
Satsang hai kehlaata
Guruji se judne ka yeh sunehra mauka
Hamaari antaratma ko jagaata

Satsang se milta hai sandesh
Ki ahem, vehem, paakhand ko chodo Sadaa satya kee raah par chalkar
Swayam ko Guruji se jodo

Guruji mein niswaarth aur nirbhay bhakti
Pradaan karti hai bhakt ko susheel shakti
Jeene kee raah aur manzil dikhti
Milti hai atma ko mukti

Kyun na zindagi ke har lamhe ko
Satya ke sangg se sajaayein hum
Guruji kee dikhaayee hui raah par chalkar
Unko sadaa rijhaayeyin hum

Sach bolenge, changey karam karenge
Toh hee hai satsang ka faayda
Karmon ka phal toh bhogna hee padega
Yahee hai niyati ka kaayda

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Satsang (09/28/2018)

September 28, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 587

  Guruji Ka Ashirwaad Baarambaar

Raat ke gambhir andhere ne musaafir se kaha
Ki kuch bhi dekhe bina veh kaise hai chal raha
Musaafir ne dee mandd see muskaan
Aur is saahas ka raaz kiya bayaan

Kaha usne andhere se datt kar
Mere Guruji hain sabse hatt kar
Unke protsaahan se milee hai mujhe nidartaa
Unke prem se mera jeevan hai sanvartaa

Musaafir kee aankhon mein thi aisi noorani chamak
Jaise sainkdon sitaaron kee roshni samaayi ho unmein
Veh Guruji kee mahima gaata hua
Chalta chala Guruji kee dhun mein

Guruji ke satsang sunaata hua
Divya gurbani ko gaata hua
Sewa ka mahatva bataata hua
Masti mein muskuraata hua

Taareef kee usne Guruji kee saralta kee
Prashansa kee Guruji kee taralta kee
Sunaayi mahima Guruji kee komaltaa kee
Aur gaayi gatha Guruji kee nirmaltaa kee

Dooba thaa veh Guruji ke pyaar mein
Vaheen baith gaya na jaane kis intazaar mein
Maun hua aur ekagrachit hua uska dhyan
Guruji kee sadhna mein leen huey uske praan

Tapasya ke unn sunehre palon mein hua uska Guruji se deedar
Sangat bhaav-vibhor ho gayi dekhkar uska Guruji ke liye pyaar
Guruji kee divya mehek laayi vaataavaran mein khushboo kee bahaar
Sabko mila dayalu Guruji ka ashirwaad baarambaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Ashirwaad Baarambaar (09/28/2019)

Pal Pal Har Pal (09/27/2018) and Aao, Guruji Ko Yaad Karein (09/27/2019)

September 27, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 221

                   Pal Pal Har Pal

Phoolon kee mehek mein Guruji
Chidiyon kee chehek mein Guruji
Aangan kee sundartaa mein Guruji
Jheel kee sheetalta mein Guruji

Akash ke divya anant mein Guruji
Hemant, Shishir, Vasant mein Guruji
Grishm, Varsha, Sharad mein Guruji
Gurbani ke har shabad mein Guruji

Karuna kee drishti hain Guruji
Sukh kee srishti hain Guruji
Mann kee shanti hain Guruji
Jyot kee kaanti hain Guruji

Sooraj se khila hua prabhaat hain Guruji
Chaand taaron se roshan raat hain Guruji
Bhatke musaafir ka manzil aur raasta hain Guruji
Parwardigaar Khuda ka vaasta hain Guruji

Masti mein dooba hua geet Guruji
Pyaar nibhaane kee reet Guruji
Har haalaat mein sachche meet Guruji
Har bhakt kee divya preet Guruji

Atma ka param dhaam Guruji
Sampoorntaa ka naam Guruji
Parampriya Paramanand Guruji
Shaant satchittanand Guruji

Bhakton ka sammaan Guruji
Devon ka gungaan Guruji
Sangat kee toh jaan Guruji
MahaShiv Bhagwaan Guruji

Har praani ka vaas Guruji
Pooran karein sabki aas Guruji
Antar mann kee pyaas Guruji
Har dil ka vishwaas Guruji

Rehte hain sadaa komal taral Guruji
Kalyuga mein bhi sadaa saral Guruji
Andhere mein bhi sadaa ujjwal Guruji
Pal pal har pal nishchhal nirmal Guruji

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pal Pal Har Pal (09/27/2018)

September 27, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 586

        Aao, Guruji Ko Yaad Karein

Aao, Guruji ko yaad karein
Dil se Unhe fariyaad karein
Ki Ve buss jaayein hum mein
Har khushi mein har gumm mein

Ek bhi pal aisa na ho
Jabb Unki hum par nazar na ho
Duniya kee baatein jaisi bhi hon
Unn baaton ka hum par asar na ho

Hum buss Guruji mein leen rahein
Aur ek pal bhi na ksheen rahein
Guruji ke prem se paayein hum shakti
Har kshan gehri karein hum apni bhakti

Koi moad jo aaye aisa ki doley hamaara vishwaas
Toh aur bhi zyada karein Guruji se judne ka prayaas
Baatein karein Guruji ke sangg
Na karein apne santulan ko bhangg

Apni taraf se koshish karte rahenge
Har mushkil ko Guruji ke bharose sahenge
Toh sadaa Guruji ke bhakti bhaav mein bahenge
Aur har saans mein β€˜Shukrana Guruji’ kahenge

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aao, Guruji Ko Yaad Karein (09/27/2019)

Guruji Hee Sachche Meet Hain Tere (09/26/2018) and Maango Nahin, Manno (09/26/2019)

September 26, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 220

    Guruji Hee Sachche Meet Hain Tere

Din raat kee bhaag daud se thakey huey musaafir,
Thoda sa ruk ja, sunn apne dil kee awaaz
Divyata ka mahasaagar basaa hai tujhme
Bheetar jhaankega toh hoga tujhe ehsaas

Insaaniyat kee khushboo hogi tere karam mein
Toh Guruji rakhenge tujhe apne charan mein
Neevanpan jo chhalkega tere dharam mein
Toh Guruji sambhaalenge tujhe Apni sharan mein

Jitna tu sadbhawna se muskuraayega,
Teri zindagi hogi utnee hee ruhaani
Jitni khushi tu chaaron oar phailaayega, Tere jeevan kee yaatra hogi utnee hee suhaani

Duniya waalon ko vashibhoot kar ke tu kuch nahin paayega
Pal doh pal ke savere ke baad andhera chhaa jaayega
Sankalp kar le kee teri har saans ho Guruji kee deewaani
Unhee ko khush karne mein jee le tu yeh zindagaani

Guruji hee sachche meet hain tere
Maan le tu Unka kehna
Unka naam tu japp le har pal
Vahee hai sabse anmol gehna

Jagg waale toh chod denge tujhko
Guruji kabhi na chodenge saath
Unhee se sanchi preet nibhaa le
Keh rahee hoon badi patey kee baat

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Hee Sachche Meet Hain Tere (09/26/2018)

September 26, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 585

Β  Β  Β  Β  Β  Β  Β  Maango Nahin, MannoΒ 

Koi maange apna yash aur naam
Aur ye ki sab karein usey salaam
Koi maange dhan daulat aur shaan
Gaadi kapde gehne aur makaan

Koi maange ki swaasthya ho achchaa
Koi maange ghar-baar aur bachchaa
Koi chaahe ki ve jaaye videsh
Koi jaana chaahe swadesh 

Har tarehn kee arzoo, har tarehn kee chaahat 
Poori huey bina na milti bhakton ko raahat
Sewa mein bhi kaheen na kaheen meva kee hai asha 
Toh kaise poorna hogi atma kee mukti kee abhilaasha?

Guruji le jaana chaahte hain hamein moksha ke kareeb
Tabhi toh Unhonei Apne haath mein rakha hai hamaara naseeb
Ve chaahte hain ki hamaare karmon ka ho bhugtaan 
Aur hamaare toh khatm hee nahin hotei hain armaan 

Lekin jabb hum Unse baar baar maang lete hain
Toh hum Unhe hamaare uddhaar ka mauka hee nahin dete hain
Hamaari zidd ke aagey Unhe majboor hona padta hai
Aur phir hamaara hee karmic bojh badhta hai

β€œMaango nahin, manno,” kehte hain Guruji
Hamaare liye itna kuch sehte hain Guruji
Phir kyun hum na Unkee baat yeh maan lein
Sabr kar Unkee mahima ko jaan lein

Maangey bina miley tohfe hongei vardaan
Unhee se sach mein hoga hamaara kalyaan
Bigde kaaj sanvaarenge Guruji
Dekhna, sab sambhaalenge Guruji

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Maango Nahin, Manno (09/26/2019)

Tu Apna Samay Vyarth Na Ganvaa (09/25/2018) and Tum Khushnaseeb Ho (09/25/2019)

September 25, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 219

 Tu Apna Samay Vyarth Na Ganvaa

Jeevan ke is naatak mein hum sabb toh hain abhineta
Oopar wala kisee ko bhi ek saa kirdaar nahin deta
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Zindagi ke safar mein chaahe kasht aayein hazaar
Guruji par vishwaas kar aur tu himmat na haar
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lag jaa

Maya toh bahut shaitaan hai
Insaan ko banaati haivaan hai
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Raaste mein jo aaye koi bhatkaane vaali moad
Toh Guruji ke naam ki chunar tu lena oad
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Apne saanson ko tu na rulne dey
Apne kiye paapon ko tu dhulne dey
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Agar sach mein karna hai Guruji ki mahima ka prachaar
Toh pehle badalne hongei tujhe tere hee vichaar
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Tu toh sach mein bhaagyawaan hai
Tere hriday mein toh bastey Bhagwaan hain
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Sansaar toh hai mithya aur mela
Har koi aata aur jaata hai akela
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Kya laaya thaa tu yahaan kya lekar jaayega
Ek Guruji ka naam hee tujhe paar lagaayega
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

Bharosa nahin hai aaj ya kal ka
Bharosa nahin hai ek bhi pal ka
Tu apna samay vyarth na ganvaa
Tu sewa aur simran mein lagg jaa

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tu Apna Samay Vyarth Na Ganvaa (09/25/2018)

September 25, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 584

             Tum Khushnaseeb Ho

Guruji ke paas baith kar
Raaz-e-dil ko karo bayaan
Guruji zaroor sunenge tumhaari baat
Isliye na ho tum pareshaan

Haath thaamkar tumhaara
Guruji ne liya hai tumhe apni sharan mein
Tum bhi apne dil kee baat kaho bejhijhak
Aakar Unke kamal charan mein

Baaton mein kaho ya geet ya kavita mein
Ya phir pooja karte huey karo bayaan
Rona bhi aa raha hai toh ro lo
Samajhte hain Ve tumhaare aansoon kee zubaan

Ho sakta hai ki tumhe lagey
Ki arzi qubool nahin ho rahi
Lekin yakeen karo ki Ve sunn rahei hain
Aur haalaat kar denge sahi

Vilambh ho sakta hai zaroor
Lekin tum zara bhi na ghabrana
Yeh safar hai shradha aur vishwaas ka
Isliye Guruji ko kabhi na bisraana

Yahaan takk le aaye hain tumhe
Toh Guruji aagey bhi lekar jaayenge
Museebatein aayeen hain tumhaari raahon mein
Toh khushi aur safaltaa ke pal bhi aayenge

Buss, kaayam rakho tum apna bharosa
Sambhal jaao buss aur thoda sa
Maano ya na maano, tum apni manzil ke bahut kareeb ho
Guruji sangg hain tumhaare, isliye tum bahut khushnaseeb ho

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tum Khushnaseeb Ho (09/25/2019)

Na Rahei Koi Bhi Udhaar (09/24/2018) and Tujhe Pukaar Raha Hai Yeh Aseem Aasmaan (09/24/2019)

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 218

             Na Rahei Koi Bhi Udhaar

Guruji ne sabko hai banaaya bina kisee mazhab ya jaat,
Hum dharam ke naam par bhed bhaav karein, hamaari kya hai aukaat?
Guruji ne kaha ki Gupt daan karo, aur karo Gupt paath,
Phir kyun hum dikhaawa karein apne aur doojon ke saath?

Guruji kee aankhon mein hum sab ek samaan hain,
Phir kyun hum mein koot koot kar bharaa hua abhimaan hai?
Jabb Guruji rakhtey hain hamaara dhyan zyada se zyada,
Phir kyun hum nibhaate nahin hain achchaa bann-ne ka vaada?

Guruji kahein, ahem aur vehem se duur bhaag,
Lekin hum lagne detein hain atma par inkey daag.
Guruji kahein, bachchon, sadaa apne se aur doosron se sach bolo,
Phir kaahe ko hamaara zameer kahey, ki baaton mein jhooth gholo.

Yoon toh bade daavey kartey hain hum Guruji ka bhakt honei ke,
Phir kyun dil paththar ke hain, jabb jee makaan sonei ke?
What’s app par sandesh toh bahut forward karte hain hum,
Par unmein se kitnon par amal karte hain hum?

Zara sochiye, har pal agar hum Guruji ko sachche mann se dhyaayein,
Aur kabhi aise karam na karein jo Guruji ko na bhaayein,
Toh Guruji ka hum karenge sammaan,
Aur Ve hum par rahenge meharbaan.

Chaahe poore jagg se chhupaa lein, Guruji se kuch bhi chhupaa nahin.
Chaahe is janam mein miley ya agley mein,
Karam ka phal milne se kabhi rukaa nahin.

Karmon ka hisaab adaa karne ke liye toh Bhagwaan ko bhi dharti par aana padaa,
Phir kyun insaan apni hee mukti ke raaste mein 
Baadha bann kar hai khadaa.

Kyun na apna hee bhalaa karein aur hum sudhar jaayein
Jo raah dikhaayein Guruji, hum bhi udhar jaayein
Apne udhdhaar ke liye itna toh hum kar sakte hain
Aur apne karmon ka hisaab chukta kar sakte hain

Shiv Yog kehta hai
Jabb jaago tabb savera
Abb jaag ja musaafir
Kar le zindagi mein savera

Chaar din kee hai zindagi hamaari
Kar lein jeevan mein sudhaar
Guruji sangg jaane ka pal jabb aaye
Tabb yahaan na rahei koi bhi udhaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Na Rahei Koi Bhi Udhaar (09/24/2018)

September 24, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 583

Β  Β  Tujhe Pukaar Raha Hai Yeh Aseem Aasmaan

Vikaaron ke ghonsle ko chod de
Azad gagan mein bhar le tu udaan 
Jahaan vehem nahin, jahaan ahem nahin
Prem bhaav hai chhaaya jahaan

Jahaan Guruji ke noor ka ujaala hai
Jahaan bhakti ka rangg niraala hai
Jahaan aseem pyaar hee pyaar hai
Jo Guruji ka diya hua uphaar hai

Ud rahi hain vinamrataa kee titliyaan
Chamak rahi hain utsaah kee bijliyaan 
Guruji ke is gagan ka alag hee roop hai
Prem kee chhaaon aur gyan kee dhoop hai

Yahaan barastaa hai Guruji ka ashirwaad
Yahaan bhojan ka har tukda hai prasad
Gurbani ke sur ne gagan ko sajaaya hai
Yahaan vaasiyon mein samarpan ka bhaav samaaya hai

Yahaan sewa har Guru bhakt ka dharam hai
Yahaan satya se mehektaa har karam hai
Apne pankh phailaa kar tu ud le yahaan 
Tujhe pukaar raha hai yeh aseem aasmaan 

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Tujhe Pukaar Raha Hai Yeh Aseem Aasmaan (09/24/2019)

Har Din Kee Shuruaat Aapse (09/23/2018) and Kar Le Guruji Se Tu Niswaarth Pyaar (09/23/2019)

September 23, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 217

         Har Din Kee Shuruaat Aapse

Har din kee shuruaat Aapse
Dil hee dil mein baat Aapse
Har pal mulaakaat Aapse
Zindagi kee saugaat Aapse

Doobtey huey ko kinaara Aapse
Asahaay ko sahaara Aapse
Uddhaar hamaara Aapse
Sachkhand ka nazaara Aapse

Duur ho andhera Aapse
Sunehra ho savera Aapse
Sukhi baseraa Aapse
Yeh astitva hee mera Aapse

Jeevan mein prakash Aapse
Oorjaamayee sakaash Aapse
Ummeedon ka akash Aapse
Swayam par vishwaas Aapse

Guru ka divya gyan Aapse
Atmasammaan Aapse
Shiv Yog ka dhyan Aapse
Divyataa ka pramaan Aapse

Karmon ka anjaam Aapse
Har shareer mein jaan Aapse
Hamaari toh pehchaan Aapse
Hum sabke praan Aapse

Sangat kee bhakti Aapse
Nirbal kee shakti Aapse
Atma kee tripti Aapse
Hum sabki mukti Aapse

Ayodhya ke Ram Aapse
Vrindavan ke Shyam Aapse
Antar-mann ko aaraam Aapse
Safal saare kaam Aapse

Guruji, Ishwar ka naam Aapse
Saare teerath dham Aapse
Jagat ka nirmaan Aapse
Abb toh hamaara nirvaan bhi Aapse

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Din Kee Shuruaat Aapse (09/23/2018)

September 23, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 582

   Kar Le Guruji Se Tu Niswaarth Pyaar

Agar tere dil-o-n-dimaag mein hoga ahankaar
Toh kaise sunega tu Guruji kee pukaar
Kar le Guruji se tu niswaarth pyaar
Aur paa le Unka aseem dulaar

Tyaag de aye bande tu jhoothi shaan
Tu aakhir hai yahaan pal do pal ka mehmaan
Is ahankaar ne aana nahin hai kaam
Kaam aayega sirf Guruji ka naam

Bann jaa Guruji ke charnon kee dhool
Kabhi bhi tu apni aukat ko na bhool
Chalta chal tu chaahe aayein raaste mein shool
Teri shradha ko Guruji zaroor karenge qubool

Na jaane abb takk tujhe kyun nahin yeh soojha
Guruji hee Hain tere divya pyaar aur teri pooja
Abb Unke siwa na hai tera rakshak koi dooja
Unkee udaartaa se prerit hokar tu sabke dilon ko choo jaa

Guruji se maangne kee zaroorat nahin hai baar baar
Na hee maan-nee hain toone mannatein hazaar
Ve poori karenge teri hasratein beshumaar
Unkee kripa se sukhi ho jaayega tera ghar sansaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Kar Le Guruji Se Tu Niswaarth Pyaar (09/23/2019)

Guruji Hamaare Baagbaan (09/22/2018) and Har Pal Shubh Hai (09/22/2019)

September 22, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 216

        Guruji Hamaare Baagbaan

Yeh jeevan toh jaise hai maano
Phoolon ka ek pyaara sa gulistaan
Is upvan ke phool hain hum sabb
Aur Guruji hamaare baagbaan

In phoolon kee hai bhinn bhinn jaati
Jiski vajeh se inkee sundartaa aur bhi badh jaati
Kyun hum insaan karte hain tuchh soch dhaaran?
Ki jaat ka bhed-bhaav bantaa hai viyog ka kaaran?

Gulab, chameli, motiya, aur soorajmukhi
Inkee mehek se bagiya lagti kitnee sukhi
Phir kyun hum sabki soch hai chhoti
Ki neeyat ho jaati hai khoti?

Aur bhi kayee prakaar ke phool
Kuch bin kaantey, kuch ke hain shool
Phoolon kee chaahe ho koi bhi nasal
Baagbaan sabko dey pyaar asal

Kuch hain laal, kuch peeley hain
Kuch satrangi, kuch neeley hain
Kisee phool ka roop nikhar aaya hai
Toh koi phool murjhaaya hai

Kayee phool khiley rehte hain har mausam mein
Kayee hotei hain kuch dinon ke mehmaan
Har phool kee alag hai khushboo
Maali toh bandd aankhon se leta hai pehchaan

Hum bhi Guruji kee bagiya ke hain phool
Aur Unhee ke charnon kee hain hum dhool
Guruji hain hamaare Bhagwaan
Aur is bagiya ke baagbaan

Pyaar ke amrit se seenchaa Unhonei
Har kalee har phool ko itne dhyan se
Mamta kee makhmali khaad hai daali
Aur noor mila hamein Unke gyan se

Kyun na sab phool mil kar muskuraayein
Sajaayein yeh sundar phulwaari
Shukrana Guruji ka ki Unhonei
Apne prem se nikhaaree zindagi hamaari

Guruji ke upvan ke pushp saare
Hain Unkee aankhon ke taare
Yeh arzoo hai ki har janam mein
Guruji hee banein baagbaan hamaare

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Hamaare Baagbaan (09/22/2018)

September 22, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 581

               Har Pal Shubh Hai

Vishwaas ko banaa kar apna kalam
Usmei bhar lee mainey pyaar kee siyahee
Guruji kee dikhaayee raah par rakha kadam
Unke vachan baney mere aadarniya sipaahee

Dil ka kora kaagaz liya aur baithi Guruji ke paas
Kalam haath mein thaama aur kee dil se mainey ardaas
Ki Guruji Apni taareef mein kuch shabd mujhse likhwaayein
Aur unn shabdon kee soch se mujhe Apne khayaalon mein le jaayein

Guruji ne kee is naacheez par nadar
Utsaah mera Unhonei badhaaya is kadar
Ki Unke ashirwaad se likhne ka silsila hua shuru
Apni mehar barsaate chale gaye mere pyaare Guru

Hum sabhi itne saubhaagyashaali hain
Ki hum sab par Guruji kee kripa hai
Unke hee upkaar se hum sabko
Unkee bhakti ka maarg dikha hai

Kisee kee bhakti mein hai shaayari
Kisee kee bhakti mein sangeet
Sabki zindagi ke safar ko
Guruji ne banaaya hai ek pyaara sa geet

Guruji ke ashish se hee hota hai
Sewa, simran, aur satsang ka chaav
Guruji kee bhakti mein sabse zaroori hai
Ki hum mein ho shudh aur saral bhaav

Kisee satahi prayatna kee nahin hai zaroorat
Koi vehem nahin aur na chaahiye koi shubh mahoorat
Buss ujjwal rakhne hain dil mein Guruji ke naam ke diye
Aur phir har pal shubh hai har shubh kaam ke liye

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Har Pal Shubh Hai (09/22/2019)

Guruji Se Milan Hee Ek Sachchaayee Hai (09/21/2018) and Musaafir Ke Saahas Ka Raaz (09/21/2019)

September 21, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 215

Guruji Se Milan Hee Ek Sachchaayee Hai

Guruji Hain hum sabke Bhagwaan
Unki mahima hai ati mahaan
Aao Guruji ke hukm par amal karein
Samaaj ke khokhle vehmon se na darein

Sikhaata hai hamein Guruji ka divya gyan
Ki hum karein gupt sewa, paath, aur daan
Phir kyun na hum Guruji kee baat lein maan
Unka kehna maan-ne mein hee hai hamaara kalyaan

Agar hum karte rahenge abhimaan
Toh Veh hoga Guruji ka apmaan
Phir hum kaise paayenge nirvana
Jabb is tann se niklenge praan?

Oopari dikhaawe mein rakha kuch nahin hai
Yeh sabb moh aur maya zindagi ka sach nahin hai
Guruji se milan hee ek sachchaayee hai
Jis takk pahunchne ke liye Guruji ne duniya rachaayee hai

Guruji se rakhein satat hum naata
Kyunki veh rishta Guruji ko hai bhaata
Nishkapat ho, niswaarth ho, pavitra ho
Aur hum sabka changaa charitra ho

Guruji se rakhein hum seedha sanchaar
Aur sadaa rakhein sachcha aur saral vyavhaar
Doojon ko jeene dein aur khud bhi jeeyein
Guruji ke naam ka amrit sadaa peeyein

Paramgyaani shrishti karta Hain Guruji
Sarveshvar aur paalan karta bhi Guruji Abb toh Guruji hee Hain hamaare jeevan ka aadhaar
Unhonei hee sambhaala hai yeh sampoorna sansaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Milan Hee Ek Sachchaayee Hai (09/21/2018)

September 21, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 580

       Musaafir Ke Saahas Ka Raaz

Zamaane kee ahankaari aandhi ne
Bahut koshish kee ummeed ke diye ko bujhaane kee
Duniya waalon kee khokhli baaton ne
Bahut koshish kee dil ko bhatkaane kee

Aaspaas ke aakarshanon ne
Bahut koshish kee mann ko behlaane kee
Moh maya ke jaal ne
Bahut koshish kee usey phansaane kee

In sab se dhyan ko hataate huey
Musaafir chalta raha Guruji ke dikhaaye raaste par
Apne dil se apni mai ko mitaate huey
Veh himmat jutaata raha Khuda ke vaaste par

Kuch loagon ko hui hairaani
Kayee loagon ko hui pareshaani
Ki kaise yeh musaafir bilkul darta nahin
Kyun iska saahas aur vishwaas martaa nahin

Musaafir ne diya muskuraakar yeh jawaab
Mere Guruji kee leela hai lajawaab
Mere sir par sadaa mere Guruji ka haath hai
Chaahe kuch bhi ho jaaye, mera Guruvar mere saath hai

Guruji kee prerna se satya ko mainey apnaaya hai
Ek Guru hee mera Apna hai, baaki saara jagg paraaya hai
Sachchaayee kee shakti se mera atma-vishwaas hai gehra
Guruji ka hai mere jeevan ke har moad par pehra

Yeh keh kar musaafir muskuraata hua vahaan se chal diya
Loagon ko samajh aayi ki Guruji ne usey atma-bal diya
Aagey sabki marzi kidhar ve mudna chaahte hain
Dikhaawe kee oar ya sach mein Guruji se judna chaahte hain

Guru naam ke sangg pooj lo saralta aur sachchaayee ko
Saath mein apnaa lo shradha, vishwaas, aur achchaayee ko
Antt vele mein na bheed kaam aayegi na dikhaawa
Guruji usey taarenge jiskee atma par hoga satya ka pehnaava

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Musaafir Ke Saahas Ka Raaz (09/21/2019)