Guruji Se Bada Koi Nahin (09/03/2018) and Ruhaani Unnati (09/03/2019)

September 3, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 197

          Guruji Se Bada Koi Nahin

Mathura ke ek kaidkhaane mein
Mata Devaki ne janam diya
Pyaare Baal Gopal ko
Maama Kans ke kaal ko

Jaise hee janme Shree Krishna
Usi samay hua aisa karishma
Sipaahi gehri nidraa mein so gaye
Tootee zanjeerein aur bandd dwaar khul gaye

Kaash yeh Krishna roopi chetna
Hum sabke dil mein aaye
Aur uss chetna ke aate hee
Agyan ka andhkaar mit jaaye

Toot jaayein zanjeerein vehem, paakhand, aur ahankaar kee
Aur baansuri bajne lagey chaaron oar buss pyaar kee
Guruji ke vachan se goonj uthey akash
Vaatavaran mein phail jaaye sureela sakaash

Guruji bhi toh aaye dharti par
Bashar bann ke hamaare liye
Taaki agyan ke andhkaar ko mitaakar
Ve jalaayein gyan ke diye

Ve toh hameshaan Apna vaadaa
Kitne pyaar se nibhaate hain
Lekin hum insaan kitne bekadar hain
Nahin seekhte hain jo Ve hamein sikhaatey hain

Abb bhi samay hai paa lein Guruji ka gyan
Achchee sangati mein rahein aur bann jaayein achche insaan
Har pal har din kar lein hum Guruji ka dhyan
Guruji se bada koi nahin hai, yeh hakeekat hum lein maan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Bada Koi Nahin (08/03/2018)

September 3, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 562

                 Ruhaani Unnati

Jab kabhi agar bebasi mein lagey
Ki kho gaye hain is jahaan mein
Aur dil pareshaan honei lagey
Shanti paane ke armaan mein

Toh dil ko samjhaakar Guruji ka karein dhyan
Unhee ko mann kee vyathaa karein bayaan
Sab kuch haar kar ankhein lein moond
Toh Guruji hamein lenge dhoond

Unke ashirwaad se hum bhool jaayenge
Ki hum kabhi khoye bhi thei
Yaad nahin rahega hamein
Ki kabhi ye nayn roye bhi thei

Poori hogi divyataa kee chaahat
Milegi peedit praanon ko raahat
Khud ko sambhaal paayenge
Mann mein vishwaas jagaa paayenge

Guru prem ke amrit se seenchein apni atma ko
Shradha se simrein apne Guru parmatama ko
Ruhaani unnati ko jeene ka uddeshya banaayein
Guruji kee bhakti ke anmol gehnon se swayam ko sajaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ruhaani Unnati (09/03/2019)

Leave a comment