Guru Naam Ka Rass (09/05/2018) and Pooran Guru Kee Talaash (09/05/2019)

September 5, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 199

            Guru Naam Ka Rass

Kalyuga ka pralay chal raha hai
Insaan ka imaan kar chhal raha hai
Dukh aur vipadaa, krodh, laalach aur santaap
Inke kaaran se aur parinaam se badh rahein hain paap

Maanav jeevan baar baar miley
Shaayad aaye na aisa mauka
Jo sthaayi samjhey is zindagi ko
Veh de raha hai swayam ko dhokha

Is jeevan ko jee lo sampoornta se
Aur izzat doh har pal ko
Kya maalum kab tak samay mila hai
Bhool jaao pichhle aur aane wale kal ko

Yeh aaj aur abhi ka pal jo hai
Yeh sach mein hai vardaan
Jo hai isee pal mein hai
Is pal ka kar lo maan

Pichhlee baatein jaao bhool
Na apne dil ke baag mein upjaao shool
Khud bhi maafi maang lo aur doojon ko bhi kar doh maaf
Yahee khushi ka tareeka hai, kar lo dil ko saaf

Guruji ke bachche ho toh apne karmon ko sudhaaro
Na duniyadaari kee vajeh se apne noor ko bigaado
Guruji kee sharan mein aao aur samaao
Vikarmon aur vikaaron se tum duur ho jaao

Sakaaraatamak oorjaa phailaao
Vaataavaran ko swasth banaao
Guruji kee baatein suno aur sunaao
Dil ke upvan ko amrit se seenchtey jaao

Guruji toh bakshanhaar hain
Tumhe kshamaa Ve kar denge
Apne mann kee mayl nikaaloge toh
Apne naam ka rass Ve bhar denge

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guru Naam Ka Rass (09/05/2018)

September 5, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 564

        Pooran Guru Kee Talaash

Thee mujhe pooran Guru kee talaash
Taaki antarmann ko miley sakaaraatamak sakaash
Lekin kayee saal takk samay nahin thaa aaya
Isliye tabb takk Guruji kee sharan ko na paaya

Sunaa thaa ki Guru Govind se milvaate hain
Aur bhakton ko jeene kee raah dikhaate hain
Sunaa thaa ki Guru ko paakar jeevan sanvar jaata hai
Sunaa thaa ki insaan kismat se hee Guru ko paata hai

Sochti thi kabhi toh mera naseeb bhi nikhar jaayega
Mere jeevan mein Guru naam ka gulab roopi arak bikhar jaayega
Kayee varsh beet gaye isee intazaar mein
Udaas honei lagee mai niyati ke is inkaar mein

Phir hui mujhpar Guruji kee mehre nazar
Aur Unkee kripa barsee mujhpar is kadar
Mera murjhaaya hua bhaagya khil gaya
Guruji mein mujhe Guru ke saath hee Ishwar mil gaya

Suljhaa dee Unhonei har uljhan
Roshan kar diya Unhonei mera mann
Mainey kar dee apni kismat Unhee ko arpan
Unkee chhavi se mainey ujjwal kiya apne dil ka darpan

Jeevan safal ho gaya jo Guruji ne liya Apni sharan mein
Uddhaar ho gaya jab jageh mil gayee Unke divya charan mein
Vahee dikhte hain mujhe jab mai hoti hoon Prabhu ke smaran mein
Abb toh Ve sadaa sangg hain mere har janam maran mein

Hadey intazaar ka hua abb meetha antt
Jaan gayee ki Guruji hain Bhagwant
Vahee hain mata pita bhai bandhu aur santt
Unkee karuna aur kripa sach mein hai anant

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Pooran Guru Kee Talaash (09/05/2019)

Leave a comment