Raaste Ka Shukrana (09/11/2018) and Chaaron Oar Hain Aap (09/11/2019)

September 11, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 205

            Raaste Ka Shukrana 

Aye raaste, tu mujhko lekar chal diya kahaan
Kya mujhe khushi kee seher milegi vahaan?
Kabhi daayein, kabhi baayein, tu mudta jaa raha hai
Mere dil ka panchhee tere sangg udta jaa raha hai

Raaste ne mujhe pyaar se diya yeh jawaab
Thoda sa mai hoon seedha, thoda hoon mai kharaab
Tu mujhpar chalte huey na rakh kadmon ka hisaab
Jahaan mai tujhe pahunchaaoonga, veh manzil hai lajawaab

Poochhne par raaste ne mujhse yeh kaha
Mai tujhe Guruji ke paas hoon le ja raha
Yeh sunn kar jaagrit hui mere dil kee aas
Sochne lagee ki kabb pahunchoongi Guruji ke paas

Is pyaare khayaal se aayee mujhmein itnee oorja
Ki Guruji ke alaava mujhe aur kuch bhi nahin soojha
Mai raaste kee baat maan kar uspar chal padee
Taaki jaldi aaye Guru milan kee shubh ghadee

Guruji ka naam lekar kasht gayee mai bhool
Raaste ke kaantey bann gaye komal phool
Paththar khud bakhud gaayab hotei chale gaye
Andhere mein divya roshni ke deep jal gaye

Guruji ke khayaalon mein hokar magan
Na dekhi zameen aur na dekha gagan
Buss Unkee hee dhun mein mai chalti gayee
Subah se hui shaam, aur veh bhi dhal gayee

Masti mein naach rahei thei vahaan moar
Peeli aur safed titliyaan theen chaaron oar
Gulab ke phoolon ka saundarya aur mehek
Akash mein udti chidiyon kee chulbuli chehek

Jhooley mein baithey Guruji lag rahei thei itne pyaare
Maathe par tejasvi Om aur nayn Unke itne nyaare
Charnon mein jabb Unke mainey sheesh jhukaaya
Toh Unka prem se bhara ashirwaad mainey paaya

Pahunchaaya jisne manzil par, uss raaste ka shukrana
Mera Guru mujhe mil gaya, phir kaisa abb ghabrana
Safal ho gaya abb meri zindagi ka afsaana
Yeh ati-anmol rishta har janam mein hai nibhaana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Raaste Ka Shukrana (09/11/2018)

September 11, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 570

           Chaaron Oar Hain Aap

Shaayari mein Aap Hain Guruji
Kavita mein bhi Aap
Maatritva mein bhi Aap Hain
Aur mitrataa mein bhi Aap

Sapnon mein Hain Aap
Hakeekat mein bhi Aap
Maardarshan bhi Aapse
Naseehat mein bhi Aap

Ruhaaniyat mein Aap
Insaaniyat mein Aap
Karam mein bhi Aap
Aur dharam mein bhi Aap

Har granth hai Aapse
Har granth ka saar bhi Aap
Dharti ke is paar bhi Aap
Aur ambar ke uss paar bhi Aap

Aap hee Hain Rab kee moorat
Aap hee Hain farishtey kee soorat
Aapse hee hai har shubh mahoorat
Aap Hain is jind kee saanson kee zaroorat

Mann kee roshni hai Aapse
Gyan kee ujlee bhor Hain Aap
Sabka astitva hai Aapse
Sach mein chaaron oar Hain Aap

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Chaaron Oar Hain Aap (09/11/2019)

Leave a comment