Aapke Naam Ka Jo Lagaaya Hai Tilak (09/12/2018) and Aakhir Ek Din (09/12/2019)

September 12, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 206

Aapke Naam Ka Jo Lagaaya Hai Tilak

Guru kee khoj mein bhatakte hain kayee praani
Is talaash mein guzar jaati hai zindagaani
Kaheen par bhi jaakar shanti milti nahin
Aur koi bhi raasta lagta nahin sahee

Jo kayee kashtiyon mein daaltey apne paaon
Veh bhatakte rehte hain dar dar, gaaon gaaon
Aapka shukrana ki Aapne apne dwaar par bulaaya
Jahaan sangat ne teenon lok ka sukh aur chayn paaya

Guruji, Aapke naam ka jo lagaaya hai tilak
Chehre par tabb se atmavishwaas raha hai chhalak
Zindagi dekhne ka badal gaya hai nazariya
Swayam ke liye bhi sanvar gaya apna ravaiya

Guruji, Aapki sharan mein toh badal gayee hai kismat
Jee chaahta hai har pal karein Aapki sewa aur khidmat
Aapka naam japne kee har pal rehti hai chaahat
Aur naam japne se milti hai dil ko raahat

Vehmon se duur hongei, tabhi toh Aapke aur bhi kareeb aayenge
Ahem ko khoyenge, tabhi Aapki rehmat ko paayenge
Paakhand tyaag kar achche karam kamaayenge
Varna jeevan ke kshan yoon hee vyarth ganvaayenge

Na rakhein kisee se bhi koi apekshaa
Kewal Aapse milan kee karein prateeksha
Unn intazaar ke lamhon mein kar lein sewa aur simran
Aur apna samast jeevan kar dein Aapko arpan

Agar hum Aapko dhyaayein din aur raat
Toh ghabraane kee koi nahin hai baat
Aapne thaama hai jo hamaara haath
Toh Aap sadaa hain hamaare saath

Aapki baat maanenge hum
Toh hamein hee hoga laabh
Moksh kee oar le jaayenge Aap
Aur kar denge hum sabko maaf

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Aapke Naam Ka Jo Lagaaya Hai Tilak (09/12/2018)

September 12, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 571

                    Aakhir Ek Din

Is zindagi ka taur tareeka
Hamein nahin aata samajh
Har tarehn kee uljhanon mein
Hum aksar jaatey hain ulajh

Uljanein toh Guruji suljhaayenge
Hamein karni hai ardaas
Guruji ka nirantar dhyan kar ke
Poori karni hai shanti paane kee aas

Yakeenan Guruji hamein apne kareeb laana chaahte hain
Tabhi toh Ve hamein Apne charnon mein bithaate hain
Hum par kripa kar hamein satsang mein bulaate hain
Sangat se divya anubhav suntei aur sunvaatey hain

Guruji ne hamein simran kee dee hai daat
Simran dwaara Ve sadaa rehte Hain hamaare saath
Sewa ka avsar jo miley toh veh bhi hai Unkee inaayat
Buss Ve chaahein ki hum karein dil se Unkee ibadat

Jitnee karenge hum sadhna
Utna aur hoga hamein Guruji se pyaar
Aur sadhna ke dwaara hee hum
Samarpan karne ke liye hongei tayyaar

Guruji hum sabko raah dikhaayein
Jeene ka tareeka sikhaayein
Kyun na hum Guru gyan ko apnaayein
Aur swayam ka drishtikoan badhaayein

Aakhir ek din aisa sabki zindagi mein aayega
Jab apna saaya bhi saath chod jaayega
Jo apna haath Guruji ke haath mein thamaayega
Veh yakeenan Unkee kripa aur karuna se tarr jaayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Aakhir Ek Din (09/12/2019)

Leave a comment