Guruji Toh Kewal Yeh Chaahte Hain (09/19/2018) and Sawaalon Ke Jawaab (09/19/2019)

September 19, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 213

. Guruji Toh Kewal Yeh Chaahte Hain

Sainkdon meel kee yaatra bhi
Hoti hai ek kadam se shuru
Manzil takk pahunchne mein
Madad karte hain hamaare Guru

Pita bhi Vahee hain, mata bhi Vahee
Bandhu bhi Vahee hain, aur bhraata bhi Vahee
Raat din Unhe rehti hai itni chinta hamaari
Unhe toh badi lagti hai hamaari choti si bhi beemaari

Har bhakt ka poora dhyan rakhtein hain, Unko toh khatam hota nahin hai kaam
Hum toh phir bhi so jaate hain, parantu Guruji na karte aaraam
Hamaari har raat kee neend ke liye Guruji sotey nahin hain
Jahaan bhi hum Unhei yaad karein, Veh hotei vaheen hain

Kuch karmon ke kaantey Veh hamein chubhne hain detey
Lekin zyadatar karam Ve Apne par lay letey
Khuda hain hamaare, isliye phir baksh detey Hain hamein
Aur changa bandaa ban-ne ki seekh detey Hain hamein

Guruji bhakton ko pehle bheetar se saaf karein
Itne dayalu hain Ve, galatiyon ke liye maaf karein
Badal detey hain Ve jeevan jeene ka nazariya
Pehle se bhi zyada adbhut ho jaati hai zindagi kee dagariya

Chaahe hum mein se kuch logon ke paas karodon ke makaan hain
Guruji ke liye hum sabb cheentee aur makodon ke samaan hain
Phir na jaane kyun hum mein hai itna ahankaar hai
Jaise jeet liya ho humne saara sansaar hai

Is ahem aur vehem ko chod dein hum
Toh yatra hamaari ho jaaye aasaan
Guruji toh kewal yeh chaahte hain
Ki hum bann jaayein achche insaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Toh Kewal Yeh Chaahte Hain (09/19/2018)

September 19, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 578

              Sawaalon Ke Jawaab

Muskuraahat ka kya hai mol?
Bholepan ka kya hai bol?
Kab takk rahegi yeh zindagi?
Kitnee gehri hogi bandagi?

Kyun sooraj itna shaktishaali hotey huey bhi
Raat mein chaand aur taaron ko chamakne deta hai?
Kyun saagar itna aseem honei ke baavjood
Nadiyon se paani leta hai?

Kyun baadal paani kee boondon ke bhaar se thakk kar
Unhe samay se pehle nahin deta barasne?
Kyun insaan ka chanchal mann
Usey Guruji ke liye nahin deta tarasne?

Jabb sooraj itna tejasvi hotey huey bhi
Raat ke aagey jhuk jaata hai
Toh phir kyun hamaare bheetar ka insaan
Aisa neevanpann nahin jutaa paata hai?

Aise kayee sawaalon se aksar
Dil ho jaata hai hairaan
Sawaalon ke jawaab na milein agar
Toh insaan hota hai pareshaan

Guruji Apne anokhe andaaz se
Dete Hain bhakton ke kayee sawaalon ke jawaab
Hairaani aur pareshaani halki kar dete Hain
Unke upkaar toh hain behisaab

Sawaalon ke jawaab agar nahin hain milte
Toh maan lena ki shaayad veh hamaare buss kee nahin hai baat
Aur apni kunthaa ko mitaane ke liye
Guruji ko thaamne dein apna haath

Kuch sawaalon ke jawaab milenge, kuch se hum reh jaayenge anjaan
Lekin kyunki Guruji ne thaama hoga haath, toh jeena hoga pehle se aasaan
Guruji kee kripa se hum hongey pehle se kum pareshaan
Buss yaad rakhein hameshaan ki Ve Hain Bhagwaan aur hum hain insaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sawaalon Ke Jawaab (09/19/2019)

Leave a comment