September 21, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 215
Guruji Se Milan Hee Ek Sachchaayee Hai
Guruji Hain hum sabke Bhagwaan
Unki mahima hai ati mahaan
Aao Guruji ke hukm par amal karein
Samaaj ke khokhle vehmon se na darein
Sikhaata hai hamein Guruji ka divya gyan
Ki hum karein gupt sewa, paath, aur daan
Phir kyun na hum Guruji kee baat lein maan
Unka kehna maan-ne mein hee hai hamaara kalyaan
Agar hum karte rahenge abhimaan
Toh Veh hoga Guruji ka apmaan
Phir hum kaise paayenge nirvana
Jabb is tann se niklenge praan?
Oopari dikhaawe mein rakha kuch nahin hai
Yeh sabb moh aur maya zindagi ka sach nahin hai
Guruji se milan hee ek sachchaayee hai
Jis takk pahunchne ke liye Guruji ne duniya rachaayee hai
Guruji se rakhein satat hum naata
Kyunki veh rishta Guruji ko hai bhaata
Nishkapat ho, niswaarth ho, pavitra ho
Aur hum sabka changaa charitra ho
Guruji se rakhein hum seedha sanchaar
Aur sadaa rakhein sachcha aur saral vyavhaar
Doojon ko jeene dein aur khud bhi jeeyein
Guruji ke naam ka amrit sadaa peeyein
Paramgyaani shrishti karta Hain Guruji
Sarveshvar aur paalan karta bhi Guruji Abb toh Guruji hee Hain hamaare jeevan ka aadhaar
Unhonei hee sambhaala hai yeh sampoorna sansaar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
September 21, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 580
Musaafir Ke Saahas Ka Raaz
Zamaane kee ahankaari aandhi ne
Bahut koshish kee ummeed ke diye ko bujhaane kee
Duniya waalon kee khokhli baaton ne
Bahut koshish kee dil ko bhatkaane kee
Aaspaas ke aakarshanon ne
Bahut koshish kee mann ko behlaane kee
Moh maya ke jaal ne
Bahut koshish kee usey phansaane kee
In sab se dhyan ko hataate huey
Musaafir chalta raha Guruji ke dikhaaye raaste par
Apne dil se apni mai ko mitaate huey
Veh himmat jutaata raha Khuda ke vaaste par
Kuch loagon ko hui hairaani
Kayee loagon ko hui pareshaani
Ki kaise yeh musaafir bilkul darta nahin
Kyun iska saahas aur vishwaas martaa nahin
Musaafir ne diya muskuraakar yeh jawaab
Mere Guruji kee leela hai lajawaab
Mere sir par sadaa mere Guruji ka haath hai
Chaahe kuch bhi ho jaaye, mera Guruvar mere saath hai
Guruji kee prerna se satya ko mainey apnaaya hai
Ek Guru hee mera Apna hai, baaki saara jagg paraaya hai
Sachchaayee kee shakti se mera atma-vishwaas hai gehra
Guruji ka hai mere jeevan ke har moad par pehra
Yeh keh kar musaafir muskuraata hua vahaan se chal diya
Loagon ko samajh aayi ki Guruji ne usey atma-bal diya
Aagey sabki marzi kidhar ve mudna chaahte hain
Dikhaawe kee oar ya sach mein Guruji se judna chaahte hain
Guru naam ke sangg pooj lo saralta aur sachchaayee ko
Saath mein apnaa lo shradha, vishwaas, aur achchaayee ko
Antt vele mein na bheed kaam aayegi na dikhaawa
Guruji usey taarenge jiskee atma par hoga satya ka pehnaava
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja