October 22, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 246
Hamaare pyaare Guruji
Kabhi hon Unke swapn mein darshan
Kabhi ho Unka mann mein chintan
Kabhi ghar mehke jaise chandan
Har pal ho Unkee oar aakarshan
Buss Unhee ka karte rahein hum vandan
Unke saath kar sakein hum koi bhi baat
Ve jaagein hamaare liye din aur raat
Har kshan Hain Ve hamaare saath
Thaamey huey hamaara haath
Kehte Hain Ve karo gupt paath
Dete Hain Ve hamaare karam kaat
Ve suntei Hain hamaari kahaani dukhdaayee
Unka ashish hai bahut hee sukhdaayee
Unse humne itnee mamta hai paayee
Hamaare jeevan kee naiya Unhonei bachaayee
Yeh sach mein hai Unhee kee vadiaayee
Har pal dil mein hai basti Unkee hee tasveer
Kabhi muskuraate Hain kabhi dikhtey Hain gambheer
Unhee ke haathon mein hai hamaari taqdeer
Veh chaahein toh badal dein hamaare haath kee lakeer
Bachche hain hum Unke, phir kyun hum bann jaate hain fakeer?
Chaahte Hain Ve ki hum karein gupt daan
Dein hum ik dooje ko pyaar aur sammaan
Unke har vachan mein basaa hai divya gyan
Unhonei diya hai hamein jeevan ka vardaan
Unkee mahima toh hai atyant mahaan
Vahee toh Hain hamaare Bhagwaan
Unhe khush rakhna hee ho hamaara kaam
Chaahe ho subah ya chaahe ho shaam
Abb toh hamaara ekmaatra sahaara Unka naam
Unke naam bina ek pal bhi nahin aaraam
Sach mein, Guruji kee sharan mein hai abb Param Dhaam
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
October 22, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 611
Sadhna Hai Tera Raasta
Sadhna hai tera raasta
Guruji Hain teri manzil
Phir yoon khade khade
Kya soch raha hai dil
Buss, tu Guruji ka dhyan kiye jaa
Apne jeevan ko changa anjaam diye jaa
Baaki zindagi sab toh dhool hai udtee hui
Ek parchhaayee hai tujhse mudtee hai
Sadhna se tu ho jaayega har dukh se bekhabar
Loagon kee baaton ka bhi na hoga tujhpar koi asar
Duniya ke tamaashe ko tu dekhega darshak bann kar
Guruji tere sangg hongei har pal rakshak bann kar
Haan, yeh sach hai ki karmon ka bhugtaan karna hai
Pichhle janmon ke kukarmon ka bhi jurmaana bharna hai
Par sadhna ke raaste par yeh kaam aasaan hai
Kyunki tere sangg tera Guru, tera Bhagwaan Hai
Tere karam kaat-te huey Guruji tera bhaar halka karenge
Teri sadhna se prasann hokar Ve teri jholi Apne pyaar se bharenge
Unka pyaar paakar tu srishti ka sabse dhanwaan insaan bann jaayega
Bharosa rakh, teri sadhna se zaroor yeh shubh din aayega
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja