Guruji Sadaa Sahaay Hain (10/28/2018) and Ibadat Se Juda Hai Shukrana (10/28/2019)

October 28, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 252

       Guruji Sadaa Sahaay Hain

Dekhte Hain har pal humko
Jahaan bhi hum jaate hain
Jab bhi Unhe hum yaad karein
Ve ik pal mein aa jaate Hain

Kaise Guruji saare bhakton ka
Itna khayaal rakh lete Hain
Hamaare kashton ko kumm kar ke
Ve hamein chayn aur sukh dete Hain

Bhatak jaate hain hum jab bhi
Guruji sahi raah dikhaate Hain
Vikarmon se bachne ka tareeka
Ve yakeenan hamein sikhaate Hain

Guruji kahein nishchay buddhirakhein hum
Aur har mushkil mein dheeraj dharein
Hamein fikr karne kee zaroorat nahin
Kyunki Ve hamaare sab kasht harein

Nuksaan aur faayda dono hain kalyaankaari
Kyunki Guruji hamaare Hain mangalkaari
Unhe duur ka dikhta hai Apni divya drishti se
Tabhi toh dete Hain mukti hamein is srishti se

Bharosa Guruji par atoot hum rakhein
Na khaayein hum dar dar kee thokarein
Ab jo Guruji kee sharan mein jagah mil gayi hai
Toh sach mein hum sabki kismat khul gayi hai

Dil mein Guruji buss gaye Hain
Rooh mein bhi Ve samaay Hain
Datt kar mushkilon ka karein hum saamna
Kyunki Guruji sadaa sahaay hain

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Sadaa Sahaay Hain (10/28/2018)

October 28, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Shukrana πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 617

Ibadat Se Juda Hai Shukrana

Yeh ibadat ka hai afsaana
Is se juda hai Guruji ko shukrana
Ibadat ke liye bhi Shukrana
Ibadat mein bhi Shukrana

Har pal Shukrana Shukrana Shukrana
Is Shukrana mein jeevan hai bitaana
Chaahe lakh koshish kar le yeh zamaana
Shukrana ke bal par hai aagey badhte jaana

Shukrana ko kabhi bhi nahin hai bhulaana
Har pal swayam ko yeh yaad hai dilaana
Zindagi toh hai dukh aur sukh ka taraana
Har haalaat mein Shukrana ka geet hai gaana

Hamaare jeevan mein kitne loagon ne hai aana jaana
Sabke saath kisee tarehn ka laukik rishta hai nibhaana
Guruji, hamaare dil se har shaq, har niraasha ko hataana
Taaki hum tript mann se karein Aapka Shukrana

Guruji, itnee kripa hum par har kshan karte jaana
Ki Aapko Shukrana karne mein na padey kabhi katraana
Aapka Shukrana karte rehne ka kehna jisne maana
Usey toh sadaa hee meetha laagey Aapka bhaana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Ibadat Se Juda Hai Shukrana (10/28/2019)

Leave a comment