MahaShiv Guruji Ke Naam Mein (10/29/2018) and Aapse (10/29/2019)

October 29, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka SuvichaarπŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 253

    MahaShiv Guruji Ke Naam Mein 

Kalyuga ka samay hai chal raha
Chhaaya hai ashaanti ka andhera
Maya ka tufaan kab thamega kaun jaane
Kab aayega shanti ka savera?

Laukik dhan ko sab kuch maankar
Insaan mein aa gaya hai kitna ahem
Apne ko shaktishaali dikhaane ke liye
Veh phailaaye andhvishwaas aur vehem

Dhan toh haathon kee mayl hai
Ek din raakh bann ke reh jaayegi
Keval karmon kee poonji hee
Insaan kee kahaani keh jaayegi

Aise haalaat mein mila hai jinhe Guruji ka sahaara
Unhe chhoo na paaye ashanti ka nazaara
Kyunki Guruji unhe bakshenge neevenpan ke sangg atmasammaan
Jis se unkee atma par na rahega kaleh kalesh ka naamo-nishaan

Kalyuga kee tez dhoop mein Guruji denge bhakton ko sheetal chhaaon
Zindagi kee raah par chalte chalte thakenge nahin sangat ke paaon
Hum toh tuchh praani hain aur Guruji hamaare daata
Hamaara uddhaar honei lagaa hai jab se juda hai Guruji se naata

Sabse anmol gehna sach mein hai Guruji ka naam
Isee naam ko japte rahein hum sab subah aur shaam
Phir kaisa darr, kaisi shankaa, buss yaad karein Guruji ko har kaam mein
Hamein toh Rabb mil jaayega MahaShiv Guruji ke naam mein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

MahaShiv Guruji Ke Naam Mein (10/29/2018)

October 29, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 618

                          Aapse

Pyaare Guruji,

Himmat Aapse
Taakat bhi Aapse
Ijaazat Aapse
Ibadat bhi Aapse

Meher Aapse
Seher bhi Aapse
Rehmat Aapse
Sehmat bhi Aapse

Pyaar Aapse
Dulaar bhi Aapse
Mamta Aapse
Kshamtaa bhi Aapse

Shakti Aapse
Bhakti bhi Aapse
Dhyan Aapse
Gyan bhi Aapse

Mitrataa Aapse
Pavitrataa bhi Aapse
Kanti Aapse
Shanti bhi Aapse

Prassannataa Aapse
Sampannataa bhi Aapse
Yogyataa Aapse
Aarogyataa bhi Aapse

Janam Aapse
Maran bhi Aapse
Dukh haran Aapse
Mangal karan bhi Aapse

Shwaas Aapse
Vishwaas bhi Aapse
Yeh jaan Aapse
Yeh jahaan bhi Aapse

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aapse (10/29/2019)

Leave a comment