Maan Liya Hai Jo Guruji Ko Bhagwaan (11/01/2018) and Sewa (11/01/2019)

November 1, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 256

Maan Liya Hai Jo Guruji Ko Bhagwaan

Hamein koi faayda nahin hoga
Apne gumm kee numaaish se
Jo Guruji ne hamaare liye socha hai
Veh yakeenan behtar hai hamaari har khwaayish se

Unhe toh veh bhi nazar aata hai
Jo hum soch bhi nahin sakte hain
Phir kyun hum apne dil aur mukh se
Unse maang maang kar thakte hain?

Uchit samay aane par Guruji
Bin maange denge jo Ve nishchit karenge
Hamaare jeevan ke is safar mein
Guruji hee Hain jo hamaare kasht harenge

Maan liya hai jo Guruji ko Bhagwaan
Toh Ve hee basey Hain abb dil mein
Hazaaron logon kee bheed mein bhi
Ve hee dikhein har mehfil mein

Mann mein Unke saath honei ka ehsaas
Hamein nidarr honei kee prerna deta hai
Guruji aakar hamaara haath thaamtey Hain
Jabb bhi koi kasht baahn pakad leta hai

Buss phir, ghabraane ka toh uthta hee nahin sawaal
Leeladhaari Guruji kee mahima hai bemisaal
Hum buss kar dein Unhe sab kuch arpan
Satguru toh chaahein hum karein sarvsamarpan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maan Liya Hai Jo Guruji Ko Bhagwaan (11/01/2018)

November 1, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 621

                          Sewa

Sewa toh veh niswaarth karam hai
Jis-se Guruji humse prasann Hotei Hain
Sewa hee hum bhakton ka dharam hai
Isee se sab bhakt sampann hotei hain

Pehli sewa tann se, jis-se apna ahem kumm karein
Hum doosre jeevon ke kaam aayein
Sabke saath pyaar se rahein, sabki madad karein
Aur apne bheetar vinamrataa ko jagaayein

Dooji sewa hai mann kee
Jiske liye karna hai simran aur dhyan
Sadhna ka anand aayega
Aur praapt hoga adhyaatmik gyan

Dhan kee sewa hai ati aawashyak
Varna dhan se badh jaata hai ahankaar
Isliye is dhan se agar sansaar ka ho upkaar
Toh ho sakta hai sewak ka bhi beda paar

Guruji ko sewa bhaaye vo
Jismein ho shradha aur pyaar
Vishwaas se kee jaaye jo sewa
Vo Guruji awashya karenge sweekaar

Tann mann dhan se kee gayee sewa
Antaratma ko saaf karey
Hamaara Guru karam katvaate huey
Hamaari galatiyon ke liye hamein maaf karey

Guruji se seedhi taar jodkar
Jiskee antaratma leen ho sadhna mein
Veh toh sarvottam sewa hai
Bahut phal hai is upaasana mein

Aao, sadhna kar lein Guruji kee
Taaki jeevan mein sudhaar ho
Guruji ke kareeb aa paayein hum
Aur antaratma ka uddhaar ho

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sewa (11/01/2019)

Leave a comment