Guruji Ko Saump Diya Hai Jeevan (11/02/2018) and Veh Guruji Ka Naam Lekar Chalta Raha (11/02/2019)

November 2, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 257

   Guruji Ko Saump Diya Hai Jeevan

Har bhakt ka hai Guruji se
Ek bada hee nirmal naata
Beech mein dooja koi na aaye
Guruji ko yahee hai bhaata

Guruji kee mamta behti hai
Bhakton kee ragg ragg mein
Unke alaawa hamaara rakshak
Koi bhi nahin is jagg mein

Har pal Unkee nazar hai hum par
Jaante Hain Ve hamaare mann kee dashaa
Unse jude rehna bahut hee zaroori hai
Taaki hum par na chhaaye moh maya ka nashaa

Sadaa rehte Hain sajag Guruji
Hamaari suraksha ke liye
Yakeenan Unhonei kasht hamaare
Kumm kar ke hee Hain diye

Jin kashton se hum anjaan hain
Guruji ko toh unka bhi gyan hai
Kabhi kabhi toh Yamraj se bhi ladkar
Hamein Unhonei diya jeevandaan hai

Guruji ko saump diya hai jeevan
Vahee banaayenge bigde kaam
Kripa kar sweekaariye Guruji
Hamaara shukrana aur pranaam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ko Saump Diya Hai Jeevan (11/02/2018)

November 2, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 622

Veh Guruji Ka Naam Lekar Chalta Raha

Haalaat kee aandhi ne roka
Kashton ke toofaan ne toka
Magar raahi nahin ghabraaya
Veh Guruji ka naam lekar chalta raha

Guruji par usey thaa vishwaas
Aur koi nahin thaa uskey paas
Magar raahi nahin harbaraaya
Veh Guruji ka naam lekar chalta raha

Manzil bahut hee duur thee
Uskee taakat thakk kar chuur thee
Magar raahi nahin hichkichaaya
Veh Guruji ka naam lekar chalta raha

Guruji ke liye aseem shradha thee uskey dil mein
Seh sakk raha thaa jo faasla thaa manzil mein
Isliye raahi nahin dagmagaaya
Veh Guruji ka naam lekar chalta raha

Guruji ke liye uske mann mein basaa thaa jo pyaar
Usee kee shakti se usey meetha lagg raha thaa intazaar
Isliye raahi nahin kapkapaaya
Veh Guruji ka naam lekar chalta raha

Dil mein Guru milan ka thaa armaan
Hothon par thaa Guruji ka naam
Sooraj dhalne lagaa ho gayi shaam
Chalte chalte veh pahuncha Guruji ke dhaam

Tabhi raahi kee neend khuli
Usne Guruji ko kiya shukrana
Guruji ne usey sapne mein
Dikhaaya uskee zindagi ka afsaana

Swapn se prerna lekar
Raahi ne Guruji ko kiya pranaam
Jo Guruji ne dee usey
Uss kismat ko kiya salaam

Isee prerna se protsaahit hokar raahi ne
Guruji ko kiya dhanyawaad baarambaar
Veh Guruji ka naam lekar chalne lagaa
Guruji ne manzil par pahunchaakar kiya uska beda paar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Veh Guruji Ka Naam Lekar Chalta Raha (11/02/2019)

Leave a comment