Zindagi Ke Jo Pal Guruji Ne Hain Diye (11/14/2018) and Behtar Insaan (11/14/2019)

November 14, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 269

Zindagi Ke Jo Pal Guruji Ne Hain Diye

Ek jhooth ko chhupaane ke liye
Kehne padte hain jhooth hazaar
Aur jab jhooth pakda jaata hai
Toh rishton mein padd jaati hai daraar

Guruji satya ka paath padhaayein
Phir kyun hum jhooth ko apnaayein
Kyun hum apne ko asatya mein jakdein
Kyun na hum satya ka pallu pakdein?

Sachaayee apnaayenge toh
Zindagi behtar ho jaayegi
Sadgati ke hum kareeb hongei
Aur dil mein shanti aayegi

Jhooth toh aakhir mein
Ho jaata hai benakaab
Insaan ko chukaana padta hai
Apne karmon ka hisaab

Guruji hamaare gunaahon ko bakshein
Har pal hum ye fariyaad karein
Jhooth ke vish ko na grehen karein
Aur sach ka sabak yaad karein

Guru naam ka anmol amrit hamein mila hai
Kyun na usey hum shradha se pee lein
Zindagi ke jo pal Guruji ne Hain diye
Kyun na unhei hum sachchaayee se jee lein?

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Zindagi Ke Jo Pal Guruji Ne Hain Diye (11/14/2018)

November 14, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 634

                  Behtar Insaan

Kya hum Guruji se judne ke baad
Baney hain pehle se behtar insaan?
Kya hum sachche dil se maante hain
Apne pyaare Guruji ko Bhagwaan?

Zara sochiye aur swayam ko hee deejiye In sawaalon ka jawaab
Guruji toh sab jaante Hain isliye
Khud ko na dhokha dena janaab

Abb bhi samay hai
Kyun na hum sudhar jaayein
Jo rasta Guruji dikhaa rahein Hain
Kyun na hum udhar jaayein

Mushkilein aayengi
Toh Guruji denge himmat
Baadhaayein aayengi
Toh Guruji denge taakat

Guruji angg sangg rehkar
Beda paar karenge hamaara
Phir hum kyun bewafaa banein
Kyun jhooth ka lein hum sahaara

Vikaaron ko tyaagne kee koshish karein
Sach ka saath dene se kabhi na darein
Is jeevan mein apna kirdaar imaandaari se nibhaayein
Kyun karmon ka bojh saath lekar jaayein?

Mushkil chaahe lagey yeh sab
Namumkin magar nahin hai
Vahee karne mein bhalaayee hai
Jo Guruji kahein sahi hai

Guruji ke samaksh haar maan lena paraajay nahin hai
Kyunki Unhe toh vaise bhi asliyat ka gyan hai
Unse mann kee baat kehne mein kaisi sharam
Unhe toh sadaa hamaare kalyaan ka dhyan hai

Sadhna mein sunein dhyan se hum
Guruji hamein dete hain jo nirdesh
Is yaatra mein sudhaarein swayam ko
Maan kar Unka aadesh

Unke aadesh ka anusaran karne se
Bann sakte hain hum behtar insaan
Ruhaani safar ka mool gyan hee yahee hai
Ki hum sabke bheetar Hain Bhagwaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Behtar Insaan (11/14/2019)

Leave a comment