November 16, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 271
Jabb Guruji Ne Hamein Liya Sharan Mein
Aaj kee baat nahin hai ye
Ye baat hai janmon puraani
Jabb Guruji ne hamein liya sharan mein
Aur badal dee hamaari zindagaani
Hamaari niyati ko likha dobaara
Hamein har janam mein diya sahara
Jeevan kee kashti ko dikhaaya kinaara
Saath na choda kabhi bhi hamaara
Aise maukey bhi aaye zindagi mein
Jab hua nahin Unkee maujoodgee ka ehsaas
Lekin Guruji toh mata pita hain hamaare
Ve toh tabb bhi thei hamaare bilkul paas
Har ghadi Unhe hoti hai fikr hamaari
Ek pal bhi na chodein hamaara haath
Hamaara saaya bhi agar naaraaz ho hum se
Guruji toh tabb bhi nibhaayein saath
Hum chaahe bewafaai karein Unse
Phir bhi Unse sab kuch lete hain
Ve toh sach mein naath Hain hamaare
Vafaa aur niswaarth pyaar hamein dete Hain
Toh kya hua agar kabhi kabhi
Guruji hamein sabak sikhaate Hain
Mata bann kar hamaari Ve hamein
Is tarehn se mamta dikhaate Hain
Unpar atoot vishwaas rakhna
Agar bann jaaye dharam hamaara
Toh Unka chintan karte karte
Sanvar jaaye har karam hamaara
Guruji hameshaan hamaari suntey Hain
Unhe keh sakte hum apne dil kee baat
Guruji ke charnon mein jageh milee hai
Yeh sach mein hai sabse anmol saugat
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
November 16, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 636
Khushi Aur Shukrana
Jaisi bhi dil kee dashaa hai
Khushi toh swaabhavik manodashaa hai
Jis insaan ko khushi ka nashaa hai
Uss insaan ke dil mein yeh nashaa basaa hai
Khushi toh dil ka veh bhaav hai
Jis se bhar jaata har ghaav hai
Kisee pe bhi nahin dabaav hai
Lekin sabko hee khushi ka chaav hai
Guruji kehte Hain hum bhakton se
Ki hamaara khush rehna zaroori hai
Khushi ke liye shukrana aur shukrana kar ke khush hona
In dono kee bahut hee badhiya jodi hai
Dono ek dooje par nirbhar hain
Dono se sakaaratmakta aati hai zindagi mein
Shukrana aur khushi dono ke mail-milaap se
Aur bhi anand aata hai Guruji kee bandagi mein
Guruji Hain na sab sambhaalne ke liye
Phir kaahe kee pareshaani
Khush aur shukrguzaar rehne mein
Samajhdaari hai, na ki naadaani
Maanav jeevan mila hai hamein
Khushkismati hai hamaari
Shukrana karne se aur khush rehne se
Karein karmic bojh ko kumm karne kee tayyaari
Khush rehkar Guruji ka Shukrana karne mein
Aayiye, na chodein hum koi bhi kasar
Aisa karne se sukh chayn se tayy hoga
Hamaare jeevan ka yeh ruhaani safar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja