Guru Naam Ka Dhan Kamaa Le (11/20/2018) and Jitna Jiske Hissey Mein (11/20/2019)

November 20, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 275

  Guru Naam Ka Dhan Kamaa Le

Gehri neend mein insaan hai so raha
Maya hee satya hai, soch vo raha
Apne antim pal mein veh jaanega
Ki simran hee ek satya hai, jo veh kho raha

Uth jaag musaafir nidra se
Aur sudhaar le apna jeevan
Simran ke zariye tu shaant kar le
Abb apna bechayn mann

Guruji takk pahunchne ka
Simran hee hai raasta
Simran karna matt bhool tu
Tujhe hai Khuda ka vaasta

Simran kee raah par chal kar hee
Tu Guru milan kee manzil ko paayega
Guru naam ke simran se hee
Tera mann shaant ho paayega

Abb kya soch raha hai tu
Abb aur samay na ganvaa
Buss simran mein leen hokar
Guru naam ka dhan kamaa

Khokli baaton se tu kuch nahin paayega
Inse apne dil mein ashaanti laayega
Tere karmon ka anjaam tujhe
Ek din toh zaroor nazar aayega

Sab yaheen ka yaheen reh jaayega
Jabb tera aakhiri samay aayega
Uss kshan mein keval Guru naam hee
Teri vidaayee ko aasaan banaayega

Jeevan ka ek bhi pal
Kabhi laut kar na aayega
Guru naam ka dhan kamaa le
Varna antt vele pachchtaayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Naam Ka Dhan Kamaa Le (11/20/2018)

November 20, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 640

          Jitna Jiske Hissey Mein

Har uljhan kee suljhan mil jaayegi
Har moad par ummeed kee kalee khil jaayegi
Raahon ke shool bann jaayenge phool
Meharbaan hoga MahaShiv ka trishul

Hamein toh buss rakhna hai vishwaas
Apne Guruji Apne Bhagwaan par
Ve toh karuna barsaate Hain
Hameshaan har insaan par

Ve toh jaagte Hain raat bhar
Taaki hum chayn se so jaayein
Ve toh hamaare ho liye Hain
Buss hum bhi Unhee ke ho jaayein

Guruji, hum hameshaan ke liye buss Aap mein ramm jaayein
Aisee subuddhi aur shradha hamein bakshiye
Ab jo sweekaara hai Aapne Guruji
Sadaa ke liye Apne charnon mein rehne deejiye

Jitna jiske hissey mein hai likha, utna har shaqs ne hai paana
Jaisa bhi ho, jitna bhi ho, changaa laagey hamein Aapka bhaana
Chaahe ho bhandaar daulat ke chaahe kismat mein ho ek daana
Buss hamaare dil mein aur labhon par ho sadaa sadaa Shukrana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jitna Jiske Hissey Mein (11/20/2019)

Leave a comment