November 21, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 276
Aur Hum Aapse Kya Kahein Guruji
Kaash hamaari buddhi kee ho jaaye shuddhi
Aur hum Aapse maangein simran ka gehna
Apne aap hee aayegi riddhi aur siddhi
Na padega Aapse kuch bhi aur kehna
Na laukik maang, na sauda, na koi chaah
Buss hamein dikha deejiye jeene kee raah
Apni sharan mein hamein jageh deejiye
Apne charnon ka amrit peene deejiye
Banaa deejiye hamein neevan
Apna kartavya karne se na hichkichaayein
Satya ke raaste par sadaa chalein hum
Hamaare kadam kabhi bhi na dagmagaayein
Achche insaan hum sab bann sakein
Aapko yaad karte huey kabhi na thakein
Aapki mahima ka gungaan karte rahein hum
Aapki mamta ke sahaare har kasht sahein hum
Aap Hain hum sab ke Bhagwan
Aapke dhyan mein rahein hum magan
Hameshaan achche hon hamaare karam
Achchaayee ko banaa lein hum apna dharam
Kripa kar hum sabko taar deejiye
Naath Hain Aap, sabke kashton ka bhaar leejiye
Aapki karuna aur divya drishti
Is-se zaroor sanvar jaayegi sampoorna srishti
Aur hum Aapse kya kahein Guruji
Aap hamaare angg sangg rahein Guruji
Aap toh Hain sabke paalanhaar Guruji
Aapse hee hoga hamaara udhdhaar Guruji
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
November 21, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 641
Tere Jeevan Ka Raasta
Tere liye tere jeevan ka raasta
Tayyaar kiya hai Guruji ne
Uss raaste par chalne ka saahas
Tujhe diya hai Guruji ne
Kya hai Guruji kee yojna
Ye toh kewal Guruji hee jaante Hain
Samay aane par tujhe bhi Ve bataayenge
Tujhe tere dhairya ka nateeja dikhaayenge
Isliye shradha ko rakh barkaraar
Aur buss dekh tu waqt kee raftaar
Dheeraj se kar intazaar
Guruji kee leela dekhne ke liye reh tayyaar
Guruji kee mahima par rakhte huey vishwaas
Samarpan kar de Unhe tu apni har shwaas
Teri niyati ko sunehre aksharon mein likh denge dobara
Guruji ke aagaman se dhanya hoga tere mann mandir ka dwara
Raaste khud bakhud khul jaayenge
Tere kayee janmon ke paap dhul jaayenge
Bebasi kee bhavna dil se jaane lagegi
Manzil saaf nazar tujhe aane lagegi
Chalte jaana tu Guruji ka naam lekar
Ve hee manzil par pahunchaayenge
Yahaan takk lekar aaye Hain
Toh vahaan takk bhi awashya le jaayenge
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja