November 25, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 280
Kar De Jeevan Guruji Ke Havaale
Aye raaste par chalte musaafir
Kyun tu dheeraj kho raha hai
Guruji ne charnon mein dee hai jageh
Phir bhi tu kyun ro raha hai
Guruji tere kasht harenge
Tera beda paar karenge
Tere saare dukh le lenge
Tujhko mann kee shaanti denge
Guruji tere saath chalenge
Tere sooraj chaand banenge
Tere kayee khwaab sach karenge
Teri jholi khushiyon se bharenge
Guruji jaisa aur koi nahin
Sach mein is saari srishti mein
Lajawaab kalyaanmayi leela hai
Guruji kee divya drishti mein
Guruji kee vadiyaayi se hee
Tera hoga kalyaan
Guru naam kee kamaayee se hee
Tu hoga dhanwaan
Ab bhi der nahin hui hai
Kar de jeevan Guruji ke havaale
Guruji kee kripa ke kalam se tu
Apni niyati dobaara likhwaale
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
November 25, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 645
Guruji Kee Sadhna Mein Leen Ho Jaayein
Paani chaahe jharne mein ho ya nadiya mein
Phool chaahe veeraane mein ho ya bagiya mein
Inka mool charitra toh paani aur phool ka hai
Fark sirf inke oopar padi paristhiti roopi dhool ka hai
Paani jabb chattaan se takraata hai
Toh lagta hai jaise kar raha ho aakramann
Lekin jheel kee sehmee hui sheetaltaa mein
Isee paani ka shant ho jaata hai mann
Mitti ismein padti hai jabb
Toh paani ke saanchepan mein ho jaati hai milaavat
Aise jaise kisee oopari prabhaav se
Paani ke sangg hui ho bagaavat
Phoolon kee kahaani bhi kuch is kadar hai
Inpar padta baag aur maali ka asar hai
Vaayu aur vaataavaran ka inpar padta hai prabhaav
Jis se inko mehsoos hota hai paalan poshan mein abhaav
Yahee hum insaanon kee bhi kahaani hai
Paristhitiyon ka hum par itna asar padta hai
Jahaan sukh aur neevanpann ho vahaan sab changa hai
Varna toh insaan kya kya nahin karta hai
Tabhi toh itna zaroori hai atma-bal
Taaki paristhiti hamaara charitra na bigaad paaye
Aao, Guruji kee sadhna mein leen hon jaayein
Taaki hum mein se har koi apna atma-bal sanvaar paaye
Guruji toh hamaari sahaayata karna chaahte Hain
Hum hee hain jo Unkee baat nahin maantey
Hum toh aane waale kal se bekhabar hain
Lekin Ve toh sab kuch Hain jaantey
Guruji ko samarpan kar ke aao karein Unkee sadhna
Bahut sukhdayee aur mangalkaari hai Guruji kee aradhana
Iske karne se atma roopi paani aur phool par aanch na padne paaye
Sach hai bilkul yeh vachan ki ‘Guruji sadaa sahaay’
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja