December 1, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 286
Unse Unhee Ko Paane Kee Arzi
Jab nirasha tujhe ghere bann kar jeevan mein andhera
Tabb Guru naam se uday hoga asha ka sundar savera
Jabb tu chodega apni βmaiβ aur bann jaayega βkuch nahinβ
Toh dekhna Guruji poori kar denge teri her ruhaani kamee
Dil se sabke kalyaan ke liye tu dua kar
Mushkilon ko dekh kar udaas na hua kar
Tu sunn ne kee neeyat toh rakh, Guruji tujhse baat karenge
Aur Unse praarthana karega, toh Ve teri har baat sunenge
Teri har nirasha se badi aur behtar hai Guruji kee marzi
Buss tu kar Unse Unhee ko paane kee arzi
Ve hongei tere saath toh tujhe aur kuch na chahiye hoga
Tu bilkul bhi na tootega chaahe duniya de de tujhe dhokha
Guruji toh karuna aur mamta ke saagar Hain
Ve sach mein kripa aur gyan kee gaagar Hain
Yaad rakh, tu chod dega jab apna saara ahem
Toh neevanpan sudhaarne lagega tere karam
Zindagi mein safalta ke liye zaroori hai atma vishwaas
Veh aayega jabb Guruji ka hoga tere kann kann mein vaas
Jabb tujhe hoga Guruji kee maujoodgi ka anokha ehsaas
Toh βDhan Dhan Gurujiβ kahega tera har shwaas
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
December 1, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 651
Guruji Ke Sangg Dukh Mein Bhi Sukh Hai
Raasta khud bakhud kab manzil bann gaya
Dil ko hui hee nahin khabar
Jo Guruji se kee thee mainey
Uss dua ko ho gaya asar
Dua thee ki Ve Apni sharan mein le lein
Apne dil mein mujhe chhoti si jageh de dein
Dua ne dikhaaya apna asar
Jab Satguru ne mujhe apnaaya is kadar
Pyaar se sambhaal liya Unhonei
Mata pita ka pyaar hai diya
Mujhe Unpar vishwaas ho gaya
Aur Unhonei mere vishwaas par bharosa kiya
Kalyuga kee kadak dhoop kee nakaaratmak garmi mein
Guruji dete Hain sheetal chhaaya
Guruji ke sangg dukh mein bhi sukh hai
Yeh sach samajh mein hai aaya
Buss Unkee hee kripa se
Achche se beet rahi hai zindagi
Shukrana Guruji ka hai beintehaa
Ki Unhonei karne dee hai Apni bandagi
Yeh Guru shishya ka rishta hai itna anmol
Guruji kee sharan mein aakar mainey hai jaana
Sach toh yeh hai ki Guruji hee apne Hain
Aur yeh jagg hai bilkul begaana
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja