Jo Sukoon Hum Dhoond Rahein Hain (12/02/2018) and Aapka Saath Toh Hai Bilkul Sachcha (12/02/2019)

December 2, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 287

Jo Sukoon Hum Dhoond Rahein Hain

Jabb jabb hum sabka hua janam
Tabb tabb hua hamaara naamkaran
Hamaare naam ke bina benaam thaa hamaara shareer
Hamaare naam ke sangg jud gayee hamaari taqdeer

Apne naam ko sunn sunn kar mann mein aaya ahankaar
Isee shareer mein hua moh, aur isee se ho gaya pyaar
Bhool gaye hum sab ki shareer toh nashwar hai
Ye bhi bhool gaye ki isey banaane wala Ishwar hai

Bhool gaye ki hum yeh shareer nahin hain
Balki yeh kshanbhangur shareer hamaara hai
Sach toh hai ki hum sab atmaayein hain
Atma hee shareer ka ekmaatra sahaara hai

Atma ke bina shareer kuch bhi nahin
Yeh jaan lein hum kyunki yahee hai sahi
Shareer toh antt mein laash bannkar jalega
Lekin atma ka safar toh iske baad bhi chalega

Tabhi toh kehte Hain Guruji
Ki simran mein mann lagaayein
Aur sewa aur simran se
Apni adhyatmik shakti badhaayein

Yeh ahem, ye vehem, ye atma ke liye achche nahin hain
Yeh saansaarik bandhan mithya hain, sachche nahin hain
Satya hai toh keval Guruji ka naam
Is naam mein hon jaayein hum antardhyan

Guruji hee karenge hamaari atma ka udhdhaar
Guruji hee denge hamaari atma ko shudh sanskaar
Shareer toh waqt aane par raakh ho jaayega
Lekin mukti na milee toh janam maran ka chakr chalta jaayega

Guruji kee mahaan leela ko hum sab jaanein
Apne bheetar samaayee hui divya roshni ko pehchaanein
Guruji hee denge veh ashish aur veh shakti
Jis se milegi hamaari atma ko mukti

Jis dharti par chhayega akash
Usee dharti par bann jaayega shareer ek laash
Dar dar bhatak kar kyun karein hum talaash
Jo sukoon hum dhoondh rahein hain, veh hai sirf Guruji ke paas

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Jo Sukoon Hum Dhoond Rahein Hain (12/02/2018)

December 2, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 652

Aapka Saath Toh Hai Bilkul Sachcha

Guruji, Apni karuna barsaayiye
Naadaan hain hum, hum par rehem farmaayiye
Apni divya drishti hum par rakh kar hamaari dashaa sanvaariye
Bhoole bhatkey huey raahi hain hum, kripa kar hamein taariye

Aisee mehar karo hum par Daata
Ki paristhiti aur mann kee sthiti mein na ho koi naata
Hum shukrguzaar rahein chaahe Aap rakhiye hamein kisee bhi haal mein
Mere sangg aisa kyun ho raha hai- na uljhein hum is sawaal mein

Kyunki sabke jeevan mein hoti hai koi na koi mushkil
Aapka ashirwaad karta hai hamaari andheri raahon ko jhilmil
Hamaari zindagi ka har lamha hai Aapki kripa ka mohtaaj
Aap hee jagat ke naath Hain, Aapka hai poore Brahmand par raj

Aapka naam lekar chalte rahein is zindagi mein
Koi kasar na chodein Aapki bandagi mein
Kyunki usee se milega hamein saahas aur utsaah
Jis se aasaan lagne lagegi hamein jeevan kee raah

Aap saath Hain toh har chunauti ka kar sakenge hum saamna
Aap sangg Hain toh poori hogi har mangalmayee manokaamna
Aapke alawa koi na jaane ki kya hai hamaare liye achchaa
Baaki sahaare vishwasneeya hon ya nahin, lekin Aapka saath toh hai bilkul sachchaa

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Aapka Saath Toh Hai Bilkul Sachcha (12/02/2019)

Leave a comment