Guruji Kee Mamta Ka Marham (12/19/2019)

December 19, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 669

      Guruji Kee Mamta Ka Marham

Kisee ne tere saath agar galat kiya
Toh bhi usey dil se de tu dua
Usne vaisa kiya toh kya hua
Guruji ne mamta ke marham se tere ghaav ko chhua

Is marham se tera har ghaav bhar jaayega
Is marham ke prabhaav se tu tarr jaayega
Agar tu bhi galat kaam karne par adh jaayega
Toh phir adhyaatmik raaste par kaise badh paayega?

Isliye Guruji kee baat le tu maan
Bann jaa tu changaa insaan
Karta chal gupt sewa, paath, aur daan
Apne karmon par har pal de tu dhyan

Is zindagi ke ajab se safar mein
Kaun apna hai kaun paraaya
Yeh samajhne kee koshish mein
Na kar tu apna waqt zaaya

Ek satya hameshaan rakh yaad
Ki Guruji sadaa tere apne Hain
Baaki sab chaahe hakeekat lagey
Magar dar-asal sab mithya aur sapne hain

Guruji ka naam liye tu mann mein
Zindagi bitaa le sadhna aur simran mein
Sukh dukh jabb aayenge tere jeevan mein
Tu sthir reh paayega Guruji ke manan mein

Chaahe aaye kabhi kaisi bhi majboori
Smaran rahe ki Guruji kee khushi hai sabse zaroori
Tere karam bhi Apne sir par le leta hai jo Bhagwaan
Unkee taraf tera itna farz toh banta hai, aye insaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Mamta Ka Marham (12/19/2019)

Leave a comment