December 25
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 675
Dharti Par Bhi Swarg Hai
Guruji kehte Hain hum niswaarthtaa ka karein prayog
Guruji sikhaatey Hain hamein Shiv Yog
Isee se ho paayega karam bhog
Aur mitenge shaareerik aur maansik roag
Shiv Yog se praapt hoti hai sadgati
Shiv Yog se hoti hai atma kee unnati
Shiv Yog se hoti hai jeevan mein pragati
Aur atma-vishwaas yukt ho jaati hai jeevan kee gati
Isliye kalyuga mein Guruji ka saath ati anivaarya hai
Isliye Unkee sharan mein hona hamaara saubhagya hai
Shiv Yog ke dwaara Guruji hamaare sankat mitaate Hain
Shiv Yog sikhaakar Guruji hamein mukti ka maarg dikhaate Hain
Guruji hee Hain MahaShiv
Unkee sadhna se zaroori kuch bhi nahin
Sarvsamarpan kar dein Unhee ko
Mann kee shanti ke liye yahee hai sahi
Dharti par bhi swarg hai
Agar hamaare mann mein shanti hai
Andhkaar mein bhi ujaala hai
Agar sangg Guruji kee kanti hai
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja