December 28, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 678
Guruji Ka Mantra Jaap
Guruji ka mantra jaap hai har dukh ka upaay
Japp lein hum sabb Om Namaha Shivaya Shivji Sadaa Sahaay
Guruji MahaShiv Hain, yeh aagey kee pankti bataaye
Sach hai ye ki, Om Namaha Shivaya, Guruji Sadaa Sahaay
Mantra jaap ko har pal dil mein jo bhi gungunaaye
Mantra jaap uske jeevan se niraasha ko duur bhagaaye
Iskee shakti itnee, ki jeevan ka andhkaar mitt jaaye
Mantra jaap har bhakt ka vishwaas aur saahas badhaaye
Is mantra jaap kee mahima har koi suney sunaaye
Kyunki iske japne se kasht hamein sataaney na paay
Jo bhi vipdaa jo bhi mushkil hamaare jeevan mein aaye
Veh Guru Apni kripa se kumm kar ke hee laaye
Saral hai mantra jaap aur sakaaratmakta yeh phailaaye
Iske shradha poorvak uchhaaran se ghar mein khush-haali aaye
Udaasi se bujhe hriday mein yeh asha kee jyot jalaaye
Kalyuga mein bhatakte musaafir ke dil mein yeh utsaah jagaaye
Mantra jaap ka koi kaanoon nahin, yeh kaheen par bhi kiya jaaye
Mantra jaap se jo shanti miley, uske bina phir nahin jeeya jaaye
Mantra jaap mein magn rehkar Guruji ka naam jabb bhi liya jaaye
Bhakt mantra jaap kar ke Guruji ko apne paas bulaaye
Mantra jaap karte rehne se mann mein Guru samaay
Jaap aur Guruji ka anusaran karne se insaan changaa bann paaye
Chaahe Guruji ke dwara bhakt neembu ke jaise nichodaa jaaye
Antt mein Guru hee bhakton ko moksh kee manzil takk le jaaye
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja