Nirvaana Kee Manzil (01/15/2020)

January 15, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 696

      Nirvaana Kee Manzil

Kahaan se aata hai
Kahaan chalaa jaata hai
Saagar ka behta paani
Kis pal shuru hoti hai
Aur kaise khatm ho jaati hai
Hamaari yeh zindagaani

Sab samay ka khel hai
Karmon ka yeh mail hai
Pichhle janmon ke karmon ka
Is janam ke karmon ke saath
Aur aagey ke karam kaise hongei
Veh toh hai rahasya kee baat

Kewal Guruji hee samajhte Hain
Is uljhey huey khel ko
Buss Unhee ke bharose
Har paristhiti ko jhel lo

Guruji tumhaari neeyat parakh lenge
Isliye dhyan do apne vichaar aur vyavhaar
par
Guruji hee niyati ka faisla karenge
Unkee hukoomat hai sampoorna sansaar par

Pal pal ka rakhein Guruji hisaab
Unkee divya leela hai lajawaab
Chaahe tum padh lo duniya kee har kitaab
Phir bhi nahin paa sakte gyani honei ka khitaab

Kyunki praapt karna hai agar divya aur ruhaani gyan
Toh phir karo simran, sadhna, dhyan
Guruji kehte Hain karo gupt paath aur gupt sewa
Aur zaroori hai ki karo gupt daan

Guruji toh sarv-vyapi, sarv-gyani, aur sarvshaktimaan Hain
Nahin zaroorat is sachchaayee ke liye kisee pramaan kee
Kyun na Unke sachche bhakt bannkar
Hum paa lein manzil nirvaana kee

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Nirvaana Kee Manzil (01/15/2020)

Leave a comment