Paani Ke Budbudey Jaisi Yeh Zindagi (01/17/2020)

January 17, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 698

Paani Ke Budbudey Jaisi Yeh Zindagi

Kya bharosa is zindagaani ka
Budbudaa hai yeh paani ka
Dekhte hee dekhte gaayab ho jaayega
Chaaho bhi toh haath mein nahin aayega

Isliye har lamhe ko pyaar se galey lagaao
Jahaan bhi mumkin ho, madad ka haath badhaao
Ye pal kshanbhangur hain, isliye beh jaayenge
Karmon ke khaatey hamaari kahaani keh jaayenge

Karmon mein hee raaz chhupa hai hamaari mukti ka

Sadhna mein hee bhandaar basaa hai adhyatmik shakti ka

Is adhyatmiktaa mein hee rahasya hai hamaare mann kee tripti ka

Isliye sewa, simran, satsang se sajaa lein hum apna yeh safar bhakti ka

Aaney waale janmon mein bhi aasaani hogi
Jitnee aajkal hoti hai, na hamein utnee pareshaani hogi
Doojon ke durvyavhaar se na hamein hairaani hogi
Isliye sewa, simran, satsang se na judna toh naadaani hogi

Aao, yeh dua karein Guruji se
Ki Unkee hum sab par sadaa nazar rahey
Sab ruhaaniyat ke rangg mein rangg jaayein
Sab par Guruji kee har pal nadar rahey

Paani ke budbudey jaisi yeh zindagi
Dhanya hogi Guruji ke ashirwaad se
Safal hogi har bhakt kee bandagi
Guru kripa ke paawan prasad se

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Paani Ke Budbudey Jaisi Yeh Zindagi (01/17/2020)

Leave a comment