January 25, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 706
Angg Sangg Pal Pal
Na dhanstaa chal laukik daldal mein aye bande
Namumkin hai is daldal se bachnaa
Na phanstaa chal maya ke jaal mein
Bahut mushkil hai is jaal se nikalnaa
Laukik padaarthon kee baanvree bhookh
Sach mein kabhi bhi na mitegee
Heere javaarahaat aur paise kee pyaas
Sach mein kabhi na bujhegi
Jitna inmein moh badhaayega tu
Tu inmein hee ulajhtaa jaayega
Lekin adhyaatmik taur se jo rahega inse vimukh
Toh tera jeevan sulajhtaa jaayega
Guruji kee sharan milee hai tujhko
Unkee baat tu maan le
Oopari dikhaawe mein kuch nahin rakha
Bande, tu ye jaan le
Laukik maya aur moh toh bhanvar ke samaan hain
Inse judey rehne se aate lobh ke laalchee toofan hain
Inke chakravyu mein na chayn hai na tripti
Inmein phanskar na sukh miley na miley mukti
Abb bhi samay hai laut jaa
Is haanikaarak aur mayavee raah se
Apna jeevan sanvaar le
Guruji ko paane kee chaah se
Guruji kee karega tu jitnee sadhna
Utnee anandmayee hoti jaayegi teri aradhana
Darshak bannkar jee tu is jeevan ko
Guru pooja se banaa le shaktishali apne mann ko
Mann jo ho jaayega tere vash mein
Toh tere safar kee manzil hongei Guruji
Tujhe tere prayaas mein madad karne ke liye
Tere angg sangg pal pal hongei Guruji
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja