Sab Sawaalon Ka Jawaab (01/30/2020)

January 30, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 711

Sab Sawaalon Ka Jawaab

Kya maqsad hai maanav janam ka
Kya anjaam hai har karam ka
Kya hai bhavishya hamaare janam maran ka
Kya laabh hai Guruji ke manan ka

Sab sawaalon ka jawaab hai Guruji ke paas
Guruji kee sharan mein poori hoti hai hamaari aas
Divyataa kee aur ruhaaniyat kee
Yahaan pareeksha hoti hai insaaniyat kee

Ye paisa, ye dhan, ye yash aur ye naam
Kuch bhi tere saath nahin jaayega
Lekin Guruji ka manan toh amrit kee khan hai
Jis se tu sadaa ke liye tarr jaayega

Guruji kee sharan mein rehkar kar le Unka simran
Mann ko ekaagr kar ke kar le Gurbani ka shravan
Jabb bhi koi anuchit khayaal aaye toh kar le tu Guruji ka manan
Mangalkaari aur shudh banaa le tu apna
vaataavaran

Aisa karne se ho jaayegi unnati teri atma kee
Aisa karne se mehar badhegi tujhpar Paramatma kee
Tujhe Guruji kee sharan mein saugat milegi nirmal anand kee
Tujhe teri tapasya se praapti hogi satchittanand kee

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Sab Sawaalon Ka Jawaab (01/30/2020)

Leave a comment