January 11, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 692
Aane Wala Hai Samay Aisa
Aane wala hai samay aisa
Jismein hamein pehle se kaheen zyaada hogi zaroorat Guruji ke saath kee
Aane wala hai samay aisa
Jismein jeevan kee naiya na paar hogi bin Guruji ke divya haath kee
Guruji ne hee kaha hai
Ki maada samay aa raha hai
Spandan ksheen hota dikh raha hai
Kalyuga chhaa raha hai
Roag, peeda, niraasha, paarivaarik samasyaayein badhne ko hain
Maadak padaarthon kee latt chadhne ko hai
Aise mein hamein Guruji ne jo le liya hai apni sharan mein
Toh hum yakeenan surakshit hain Unke kamal charan mein
Guruji, kripa keejiye aisee
Ki is sansaar mein sukh aur saamanjasya banaa rahey
Guruji karuna barsaayiye aisee
Ki pyaar aur bhaichaara ghanaa rahey
Sunn leejiye yeh dard bhari awaaz
Bhakton ne pukaara hai Guruji
Is maadey samay mein hamein toh kewal
Aap hee ka sahaara hai Guruji
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja