February 7, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻 # 719
Unnati Atma Kee
Kar liya poore sansaar ka bhraman
Kintu kiya nahin Guruji ka smaran
Toh kaise hogi unnati atma kee
Kya tumne socha hai kabhi?
Daulat kamaayee shauharat kamaayee
Kintu nahin kee Guru naam kee kamaayee
Toh phir kaise jaanoge Guruji kee vadiyaayee
Jis se Guruji ke deewaane bhakton ne dharti par hai jannat paayee
Guruji ke naam ka simran karne se
Kasht aur paap dhul jaate hain
Mann kee gaagar ko Guru naam se bharne se
Bhakt shanti aur shakti paate hain
Koi bhi mushkil ya roag ho
Simran se bada nahin hai koi ilaaj
Simran ke mangalmayee parinaam se
Nahin bann-na padta hai kisee ko bhi kisee ka mohtaaj
Kyunki simran toh hai ek anmol gehna
Jo sahi maayne mein banaa deta hai dhanwaan
Laukik dhan toh zindagi mein aata-jaata hai
Lekin ruhaani dhan har janam mein saath nibhaata hai
Simran toh hai uss shaktishali naiya ke samaan
Jo paar kar sakti hai bhayankar se bhayankar toofaan
Aur simran kee naiya mein safar karte huey musaafir par
Pyaare Guruji sadaa rehte Hain meharbaan
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja