Namaha Shivaya (02/13/2020)

February 13, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 725

              Namaha Shivaya

Namaha Shivaya par hai aadhaarit
Aaj ka ye Suvichaar
Namaha Shivaya kehne aur sunn-ne se
Khulte hain Guruji ke deedar ke dwaar

Ye uddhaar aur upaasana kee divya jyoti hai
Iske uchhaaran se bhog aur moksh kee praapti hoti hai
Kyunki na, ma, shi, va, ya basey Hain ismein
Shivji ke saare kaaraj sajey hain jismein

Namaha Shivaya mein β€˜na’ jo hai
Uska taatparya hai dharti hamaari
Shivji dwaara sansaar kee rachna yahaan hoti hai
Aur ye rachna hai itnee divya aur pyaari

Dooja kaaraj Shivji ka
Hai paalan is srishti ka
Paalan aur vriddhi ke liye jal hai zaroori
Jal se β€˜ma’ kee paribhaasha hoti hai poori

Agni hota hai β€˜Shi’ ka arth
Isko bilkul bhi na samajhna vyarth
Kyunki ye bhi Shivji ka kaarya hai
Kyunki sanhaar karna bhi anivaarya hai

β€˜Va’ toh hai vaayu, veh jhonka jo gaya ya aaya
Is se samajh aata hai Shivji ka tirobhaav yaani ki maya
β€˜Ya’ ka matlab hai moksh ke baad milne wala akash
Shivji se anugreha aur ashirwaad mil jaaye sabko kaash

Shivji ke paanch mukh jo Hain
Ve Hain in krityon ke liye
Shivji har uss bhakt mein Hain bastey
Jo Om Namaha Shivaya japte huey jiye

MahaShiv Hain pyaare Guruji hamaare
Is mantra ke dwaara Unka bhakt Unhe pukaare
Is mantra se poori ho manokaamna
Aur aasaan ho jaaye karna mushkilon ka saamna

Namaha Shivaya ka panchaakshar mantra
Shivji ke paanch kaaraj samjhaaye
Om ke Pranav mantra sangg jod lo isko
Aur shradha se japte raho β€˜Om Namaha Shivaya’

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Namaha Shivaya (02/13/2020)

Leave a comment