February 16, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 728
Poori Srishti Par Drishti Hai Jinkee
Har jeev apne agley janam mein
Maanav bann-na chaahe
Aur maanav aisa jeev hai jo na jaane kyun
Is saugat ko nahin saraahe
Chauraasi lakh yooniyon ke baad
Milta hai kismat se maanav janam
Phir bhi kyun bhool jaate hain
Hum karne is janam mein achche karam?
Itne yatna se milee hai ye zindagi
Isko vyarth na jaane dein
Apne insaaniyat ke kirdaar ko
Is sansaar ke kaam aane dein
Moksh praapti karne ke liye
MahaShiv mein samaana zaroori hai
Lekin karam achche jo na huey hamaare
Toh hamaari atma aur moksh mein bahut duuri hai
Is duuri ko khatm karne ka hai ek pakka ilaaj
Guruji kee baat maan lo aur banaa lo Unhe apna sartaj
Guruji kahein ki hum bandey banein aur kar lein changey karam
Sachchaayee aur neki se nibhaayein insaaniyat ka dharam
Koi kaayde kaanoon niyam nahin
Buss, jo Guruji kahein hum karein vahee
Is se zyada aasaan ho nahin sakta Ishwar ko paana
Sach mein Guruji ka naam hai moksh ka khazaana
Kuch nahin bigdega koshish kar ke dekh leejiye
Shradha aur prem se Guru naam ka amrit peejiye
Devon ke Dev MahaShiv taaranhaar Hain Guruji
Poori srishti par drishti hai jinkee Ve parwardigaar Hain Guruji
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja