February 18, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 730
Thoda Sa Waqt
Jo jeevan hamein Guruji ne bakshaa hai
Usmein se thoda sa waqt Guruji ko de dein
Unse baatein kar lein, Unka kar lein Shukrana
Bator lein Guruji ke naam ka khazaana
Is waqt ke liye har pal shubh hai
Is waqt se mann hota shudh hai
Is waqt se badhti hai Guruji ke liye preet
Is waqt ko banaa lein hum jeene kee reet
Waqt bitaayein simran aur dhyan mein
Kyunki shanti toh bastee hai adhyaatmik gyan mein
Saansaarik jhameley toh hain maya ka jaal
Inmein saara waqt bitaane se vichlit hota hai dil ka haal
Haan, ye satya hai, ki sansaar mein jeena hai toh laukikta ke bina mumkin nahin
Lekin, ruhaani nazariye se dekhein, toh moh maya se judna nahin hai sahi
Kyunki moh aur maya, yahee kaaran hain lobh aur ashanti ka
Aur inmein phanskar, hum bhool jaate hain mahatva Guruji kee kanti ka
Guruji kee kanti mein hai divyataa anant
Guruji kee kanti se hota hai har andhere ka antt
Guruji kee kanti toh dusht ko bhi banaa de sant
Guruji kee kanti mein samaay Hain Guru aur Bhagwant
Phir kyun hamein hota hai Guruji ke sangg samay bitaane se inkaar
Kyun na Guruji ko yaad kar ke karein Unse hum Unke prati apne prem ka izhaar
Guruji ke sangg waqt bitaane se jeevan mein awashya hoga sudhaar
Guruji mein dhyan lagaane se nishchay hee hoga hamaara uddhaar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja