February 23, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 735
Sachkhand Ke Dhaam
Guruji ko hum apna meet banaayein
Mann kee baat Guruji ko bataayein
Guruji toh vaise hamaare bin boley hee haale-dil Hain jaan lete
Na jaane kyun hum apne Guruji kee har baat nahin hain maan lete
Guruji kahein ki hum rakhein shradha aur saboori
Chaahe hamaari khwaayish ho ya na ho poori
Unpar hamein hona chaahiye vishwaas atoot aur sachcha
Kyunki Ve hee jaante Hain ki kya hai hamaare liye achchaa
Guruji adhiktar kasht Swayam par lekar
Hamaare kashton ko kumm kar ke dete Hain
Isliye chaahe burey waqt ke dauraan hum samajh na paayein
Hum Unhee kee dee hui himmat se uss waqt kasht seh lete hain
Agar saara ka saara kasht hum par aa jaata
Toh ye dil aur ye shareer uss dukh ya dard
ko na seh paata
Isliye Guruji ka shukrana hai baarambaar
Ki Ve hamaara itna dhyan rakhte Hain har baar
Meet bhi Hain Ve, aur Ve hee Hain hamaare naath
Guru ke roop mein MahaShiv Hain, aur hal pal Hain hamaare saath
Itne saubhagyashali hain hum, phir kyun hum laukik dukh se rotey hain
Kyun hum duniyaadaari ke jaal janjaal mein phanskar apne ruhaani sukh ko khotey hain
Aagey bhi sukh dukh ke pal aate rahenge
Aur pehle bhi aise kayee lamhe gaye hain beet
Guruji kee sharan kee suraksha mein hum sab sahenge
Aur yaad ke saath saath sabak bann ke reh jaayega hamaara ateet
Isliye beetee hui khatti-meethi yaadon se seekh kar
Bhavishya ka swaagat karein lekar Guruji ka naam
Bande banein aur changey karam kar ke tarne kee koshish karein
Taaki antt mein Guruji chalein hamein lekar Sachkhand ke dhaam
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja