Sachchaa Faayda (02/24/2020)

February 24, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 736

               Sachchaa Faayda

Har insaan kee zindagi ek see nahin hai
Isliye shaayad sabke liye alagg raasta hee sahi hai
Lekin sabke liye ek samaan hain raaste par chalte huey sadachari ke kaayde
Kyunki in kaayadon se hee judey hain hamaare sachche faayde

Atma ka sukh hee hai faayda sachchaa
Isliye koshish karein ki hamaara har karam ho achchaa
Taaki antar-mann ko mil jaaye shanti
Aur usmein samaa jaaye Guruji kee kanti

Chaahe sabka bhinn bhinn hai zindagi dekhne ka nazariya
Guruji kee sharan mein rehkar badal sakte hain hum apna ravaiya
Sabka asamaan hai pichle karmon ka bhaar
Jo ek tarehn se bantaa hai vartmaan kee niyati ka aadhaar

Guruji ke vachan ko sab bhakt hain jaante
Lekin sab Guruji ka kaha nahin hain maante
Guruji kee raah par sab chalte hain apni shradha aur soch ke anusaar
Aur Guruji sabki soch ko jaankar Apne hukm se chalaate Hain ye sansaar

Isliye Guruji kee bhakti se shakti paakar
Saralta aur taraltaa ka raasta apnaayein
Asatya aur duraachaari se muh moadkar
Apni atma ka saamarthya badhaayein

Atma-bal se milegi shanti aur santushti
Aur Guruji swayam karenge is satya kee pushti
Poore sansaar par hameshaan ke jaise padegi Guruji kee divya drishti
Guru kripa se aur sudhrey huey nazariye se yakeenan sanvar jaayegi srishti

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sachchaa Faayda (02/24/2020)

Leave a comment