Paawan Punarjanam Hamaara (02/25/2020)

February 25, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šŸ™šŸ»šŸ™šŸ» # 737

     Paawan Punarjanam Hamaara

Guruji bashar ke roop mein aaye
Aur phir MahaSamadhi lekar huey sanaatan aur anant
Unkee divya jyoti aaj bhi sansaar ko ujjwal karti hai
Kyunki Ve Hain MahaShiv, hamaare Bhagwant

Guruji ka sakaash hai atyant tejmayee
Ve nirantar hamaare mann mein karte Hain vaas
Hum apne mann mandir mein jabb jabb dhoondhein Unko
Hamein hota hai Unkee divya maujoodagi ka ruhaani ehsaas

Guruji ka hai hamaari salaamati par har pal pehra
Sab rishton mein Guru aur shishya ka rishta hai sabse gehra
Simran se nishchay hee anubhav hota hai Guruji kee divya upasthiti ka
Is adhyaatmik chetna se bahut sudhaar hota hai mann kee sthiti ka

Guruji ke dikhaaye raaste par riwaaz hai ruhaaniyat ka
Guruji ke vachanon mein dikhta hai mahatva insaaniyat ka
Isliye ahem aur vehem kee deewaaron se mann mein khokhle ghar kyun banaayein hum
Balki changey insaan banein taaki Guruji ko khush kar paayein hum

Jabb neki aur sachchaayee se mehkega har karam hamaara
Jabb chod denge hum lena ahem aur vehem ka sahaara
Jabb sewa, simran, satsang, aur samarpan mein ramm jaayega mann hamaara
Toh adhyatmik taur se isee jeevan kaal mein hoga paawan punarjanam hamaara

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Paawan Punarjanam Hamaara (02/25/2020)

Leave a comment