Imaan Insaaniyat Ka (02/29/2020)

February 29, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 741

          Imaan Insaaniyat Ka

Khand-har bataata hai ki imaarat shaandaar thee
Insaan ka karam bataata hai ki neeyat imaandaar thee
Yeh mahatvapoorna nahin ki koi ameer hai ya gareeb
Kyunki Guruji ke kareeb jo bhi hai, vo hai sabse khushnaseeb

Seekhein hum isee tathya se
Ki jeevan jiyein hum satya se
Kyunki spasht karte hain neeyat aur karam
Ki Kya hum nibha rahein hain apna imaan aur dharam?

Imaan insaaniyat ka
Rutba ruhaaniyat ka
Aacharan adhyaatmikta ka
Sanskaar sakaratamakta ka

Guruji karte Hain apne sab bachchon se pyaar
Unkee kripa kee badaulat hee roshan hota hai bhakton ka ghar sansaar
Agar phir bhi hamein Unkee baat maan-ne se hai inkaar
Toh phir bheed mein gumm kar jeevan ho jaayega bekaar

Chaahe koi aur hamaare sangg chaley ya nahin
Guruji sangg hum chalein uss raaste par jo hai sahi
Mushkilein aa bhi jaayein, toh bhi is safar mein ek divya anand aayega
Sachchaayee aur neevenpann se chalein agar, toh mann bhi sukoon aur shanti paayega

Mukti paane ke liye aawashyak hai
Ki atma nishkapat-ta aur nirmal anand kee sthiti mein ho
Mann kee shanti ke liye sewa bhaav aur saraltaa zaroori hai
Chaahe insaan jaisi bhi paristhiti mein ho

Isliye aayiye, Guruji ke sangg ke is safar ko rakhein nirmal
Apne vichaar aur vyavhaar rakhein taral
Apni bhavna rakhein komal
Aur apne jeevan ko banaayein ujjwal

Imaandaari se jiya jeevan sach mein hoga shaandaar
Guruji bhar denge hamaara adhyaatmik bhandaar
Ye duniya chaahe hai ek bheed se bhara bazaar
Hum toh tarr jaayenge paakar Guruji ka pyaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Imaan Insaaniyat Ka (02/29/2020)

Leave a comment