Moksh Ka Raasta (03/05/2020)

March 5, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 746

       Moksh Ka Raasta

Moksh ka raasta toh srishti kee shuruaat se vaisa hee hai
Lekin insaan agyanta-vash bhatak jaaye
Isliye insaan ko sahi raaste par vaapis laane ke liye
Bashar ke roop mein Guruji aaye

Sadaa sadaa ke liye
Sanaatan hai mukti ka raasta
Ispar vinamrataa aur vishwaas se chalna
Tumhe hai aman ka vaasta

Raaste mein jo archanein aayengi
Toh tumhaara suraksha kavach banega Guruji ka naam
Is naam ko har pal japte rahoge
Toh zaroor pahunchoge sachkhand ke dhaam

Mann mein vehemon ko paal kar atma ko kamzor na karna
Guruji sangg Hain tumhaare, isliye kisee bhi museebat se na darna
Agyan ke andhere mein Ve Apni gyanmayee jyot se tumhe raasta dikhaayenge
Dukhon kee moosalaadhaar baarish mein Ve tumhe bheegne se bachaayenge

Unkee ruhaani maujoodagi se prerna paakar
Unke simran aur dhyan mein mann lagaana
Tumhaare bin boley hee Ve sab jaante Hain
Isliye beshaq tum Unhe kuch na bataana

Lekin agar apna mann halka karne ke liye
Kabhi Unke aagey rona ya kehna bhi pada
Toh sharminda na hona tum bilkul bhi
Kyunki Guru ka ohada hai mata-pita se bhi bada

Tumhaari pakad kamzor ho sakti hai
Lekin Guruji kee pakad hai mazboot
Isliye Guruji ko tum apna haath thaamne dena
Chaahe baaki sab sahaare jaayein chhoot

Guruji ke haath mein apna haath thamaakar
Mann mandir mein Unkee chhavi ko basaakar
Vishwaas, prem, aur shradha se chale chalo tum Unka naam lete huey
Guruji tumhe bakshenge tumhaare safar ko anant anand ka anjaam dete huey

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Moksh Ka Raasta (03/05/2020)

Leave a comment