Shradha-Suman Ka Gulistaan (03/06/2020)

March 6, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 747

     Shradha-Suman Ka Gulistaan

Aye bande, bandd hee rakhna giley-shiqve ka sandook
Varna har taraf se chal jaayegi ilzaamon kee bandook
Tark vitark mein dilon ko pahunchegi choat
Aur phir kaheen badh na jaaye dilon mein khoat

Guruji ka naam lekar seekh le karna maaf
Aur apni galatiyon ke liye bhi maang le kshamaa
Maafi dene aur maangne se dil ho jaayega saaf
Aur bigadne se bachh jaayega ye samaa

Ye samaa, jo mila hai is maanav vesh mein jeene ka
Na chod koi bhi mauka Guruji ke naam ke
amrit ko peene ka
Is samay ko bann jaane de ik haseen daastaan
Apne dil ko banaa le Guru naam ke shradha-suman ka gulistaan

Na lagne de thes apne atma-sammaan ko
Na khokhla kar apne sachche pyaar aur niswaarth balidaan ko
Doojon ke ahem kee vajeh se na ksheen kar apna spandan
Buss karta jaa tu Guruji ka manan aur vandan

Guruji ke dhyan aur simran mein
Tu ho jaa bilkul mastt
Guruji ke diye huey gyan mein
Tu ho jaa bilkul vyast

Baaki sab faisle tu Guruji par chod de
Ve tere naath Hain aur tu hai Unkee santaan
Unko Shukrana karte huey Unse guzaarish kar
Ki tujhe dikhein sabke bheetar basey huey Bhagwaan

Jeena saral ho jaayega
Mann nirmal ho paayega
Guruji kee aseem kripa se tera
Nishchay hee uddhaar ho jaayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Shradha-Suman Ka Gulistaan (03/06/2020)

Leave a comment