Holi Ka Tyohaar (03/10/2020)

March 10, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 751

               Holi Ka Tyohaar

Sharad ritu ke pashchaat
Jabb vasant ritu hai aati
Toh veh buraayee par achchaayee kee jeet manaane
Holi ka tyohaar hai laati

Saath hee saath changi fasal ke liye Shukrana
Holi ka mahatva hai badhaata
Rangon se ullaas phaylaakar
Har koi phoola nahin samaata

Phagun kee pooran-maashi par
Holi ka avsar hai manaaya jaata
Divyataa ke pannon mein bhi
Iska abhipraay likha hai jaata

Asur raja Hiranyakashipu ne kiya prajaa ko bhaybheet
Sabse zabardasti sammaan maangkar manaayee jhoothi jeet
Unke bete Prahlaad ne na chodi Vishnu kee bhakti
Toh Hiranyakashipu ne dikhaayee apni nakaaraatmak shakti

Asur raja ne apni behen Holika ko
Pehnaaya kapde ka kavach suraksha ke liye
Goad mein Prahlaad ko lekar Holika baithi
Agni kee chita mein ahankar ka ghoont piye

Vishnuji ke prataap se chogei ka kavach
Udd kar Prahlaad par aaya
Jis agni ne Prahlaad ko maarna chaaha
Usne Holika ko le jalaaya

Jo ho chuki, uska arth hai ho-li
Abb buss goonje pyaar kee boli
Guruji ke paawan prem se
Aao sab bharein apni jholi

Jo ho gaya so ho gaya
Beetey huey par abb rona nahin
Guruji ke ashirwaad kee Ganga mein Paapon ko dhona hai sahi

Holi ka yeh bhi matlab hai
Ki mai Guruji kee ho-lee
Guruji kee laadali sangat hee toh
Hai holi kee tolee

Holy ka angrezi mein hai ek aur taatparya
Jo hai shudh aur paawan
Sarvsamarpan kar ke thaam lo
Guruji ka tum daaman

Guruji kripa aisee keejiye hum par
Ki Aapke bhakti ke rangg mein rangg jaayein is kadar
Ki buss Aap, Aap, Aap hee nazar aayein
Jidhar bhi le jaaye jeevan kee dagar

Aapke rangg mein ranggkar
Har bhakt par noor Aapka chhaaye
Duniya ke har ek konei mein
Har bhakt Aapke hee gunn gaaye

Holi ke is tyohaar ko
Guruji ke ashish se manaayein
Guruji ke rangg mein rangkar hum sab
Sansaar ko pyaar ke rangon se sajaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Holi Ka Tyohaar (03/10/2020)

Leave a comment