Bhakt Kee Chhoti See Kahaani (03/11/2020)

March 11, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 752

Bhakt Kee Chhoti See Kahaani

Jabb jabb maayusi ka aalam chhaaya
Guruji ka pyaar nayee ummeed laaya
Is ummeed ne dil mein utsaah jagaaya
Aur bhakt ka beda paar karaaya

Bhakt ne pyaare Guruji mein paaya
Veh pita, jisne sukoon pahunchaaya
Veh maa, jiska jabb padaa bhakt par saaya
Toh bhakt ka muqaddar aur bhi nikhar aaya

Bhakt ne jaana ki Guruji mein hai samaaya
Veh meet, jo uskee har baat samajh paaya
Veh rakshak, jisne aisa kavach pehnaaya
Ki bhakt ke darr ko duur bhagaaya

Jabb jabb bhakt ne Guruji ko bulaaya
Yeh kripaalu Guru turant aaya
Guruji ne Apni maujoodagi se aisa mahaul banaaya
Ki kisee nakaaratmak shakti ne phir bhakt ko na sataaya

Bhakt ko na aakarshit kar sakte thei moh aur maaya
Guruji ne uska atma-bal aisa badhaaya
Bhakt ne Guruji kee mahima ka geet gaaya
Aur kashton ke beech reh kar bhi bhakt muskuraaya

Bhakt ka dil dukh sukh mein shant reh paaya
Usne apna koi pal phir na kiya zaaya
Usne sewa, simran, satsang mein jeevan bitaaya
Aur sarvsamarpan kar ke apne Guruji ko rijhaaya

Is kahaani se ye samajh mein aaya
Ki vyarth hain moh, lobh, aur maaya
Ki Guruji sadaa apne Hain chaahe jagg ho jaaye paraaya
Ki jeevan kee kadak dhoop mein Guruji Hain sheetal saaya

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Bhakt Kee Chhoti See Kahaani (03/11/2020)

Leave a comment