Hum Sab Bahut Bhagyashali Hain (03/12/2020)

March 12, 2020

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 753

  Hum Sab Bahut Bhagyashali Hain

Pyaare Guruji ke liye
Saari sangat hai ek samaan
Hum sab Unke bachche hain
Ve Hain hamaare naath aur Bhagwaan

Unke anek hain ashirwaad
Jinse hoti hai hamaari duniya aabaad
Ek baar Unkee chaukhat par aane kee der hai
Ki bin maange poori ho jaati hai har mangalmayee fariyaad

Unkee mahima aur Unke tej ke samaksh
Pheekee pad jaaye har vidvaan kee vidvataa
Unke divya noor ke saamne
Ksheen hai koi bhi sundartaa

Hamaare gunon ko taraashte Hain Apni divyataa se
Hamaari soch ko sudhaarte Hain Apne dil kee sundartaa se
Pratibhasampann kaarigar Hain Guruji, hamaare jeevan ka karein nirmaan
Ve Hain hamaare Ishwar, hum Unkee naadaan santaan

Har kadam par dhyan rakhte Hain hamaara
Har pal hamein dete Hain sahaara
Agam agochar Hain, phir bhi aseem shakti hai Unke prataap mein
Apne har bhakt ko sambhaal lete Hain kasht aur santaap mein

Shikaayat ke badle karna Shukrana
Udaas rehne ke bajaaye muskuraana
Zindagi mein aise parivartan laate Hain Guruji
Murjhaate huey naseeb ke phool ko khilaate Hain Guruji

Hum sab bahut bhagyashali hain
Jo Guruji ne hamein sweekaara hai
Abb toh is sansaar roopi mahasaagar mein
Unka dwaar hee hamaari naiya ka kinaara hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Hum Sab Bahut Bhagyashali Hain (03/12/2020)

Leave a comment