March 13, 2020
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 754
Dua
Awaaz mein dua, shwaas mein dua
Aas mein dua, andaaz mein dua
Dua ka dhangg ho swaarth se alag ka
Guruji, dua hai, ki kalyaan ho saare jagg ka
Dua se sajaa lein apne vichaar aur apni bhaasha
Aur jagaayein hum dilon mein asha
Chaahe ye duniya hai ek rangmanch par tamaasha
Kyun yahaan kee shokhi ko kum karey koi bhi niraasha
Sees jhukaakar dua
Haath joadkar dua
Har dil mein ho dua
Har pal mein ho dua
Nirogi ho atma aur shareer
Bann jaaye bigdee taqdeer
Jeevan na lagey moh maya kee zanjeer
Tal jaaye yeh samaa gambheer
Jagg ka kalyaan hoga
Toh nishchit hai hamaara bhi kalyaan
Kyunki jo doojon ke liye dua maangta hai
Uska kalyaan zaroor karte Hain Bhagwaan
Kya hua jo hum par kalyuga ka bhaar hai
Hamaare Guruji kee leela toh aparampaar hai
Har ghar mein Guruji ka gungaan ho raha baar baar hai
Hamaara Unke charnon mein hona Unkee khudaayee ka chamatkaar hai
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja